HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Wednesday, November 2, 2011

Muhabbat e Ahelay Bait (SAWW)

Pas logon kay Dilon ko is tarah Qarar day kay un ki tarf ma,il hon
(sorah-e-ibarhim ayat no37)
TAFSEER
(AL,QAFI JILD 1/S392:HADEES NO 1:)
Pas agar tum chahtay ho kay tumhari zindagi Anbiya a.s ki tarah ho
aur tumhari moat Shu'da jesi ho to Wilayat Ahelay Bait a.s ko qabool karo aur appnay Amal-o-Raftar zindagi mein un ki pairvi karo ta kay jo tumhain passand hai woh dekh sako
yeh aik aesi haqeeqat hai kay jis kay mutaliq Rasool Akram (saww) nay wazahat farmai hai.

Farmanay Rasool e Pak (SAWW)

Jo koi chahta hai kay anbiya as jesi zindagi guzaray aur shu,da jesi moat Aye aur jannat mein us ka thikana ho,  "jisay meharban khuda nay banaya hai" usay chahiye hazrat Ali as aur un kay osiya ki wilayat ko qabool kar lay aur un kay ba,d jo imam hain un ki iqtada kar lay woh sub meri itrat hain aur meri tayunat say un ko paida kiya gaya hai
A-parwardiga mera faham aur ilam un ko atta kar
phir irshad farmaya:
us shakhs kay liye halaqat ho  jo in ki mukhalifat karay A-khuda aesay logon ko meri shafat naseeb na farma

(Kitab Manaqib Ahelay Bait Al-Qafi 208 Hadees no 3)

No comments:

Post a Comment