HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Hussain a.s sms

best Hussaini messages!


Akhtar Hussain Urdu Roman SMS!

Nazim Baladi Husri Roman Urdu sms!

GMP Tando jam Urdu Roman Hussainisms!

inbox of Faqeer Ghulam Qadar Channa tando jam sms in roman Urdu!

28 Safar Shahdat e Imam Hassan a.s urdu roman sms!

28 Safar Yom-e-Shadat-e-Imam HASSAN-E-MUJTABA A.S.
Utha Darr-e-Batool s.a se Hassan a.s ka janaza Teeron mein Ghir gaya hai Gul-e-Badan ka janaza.
Khizan ki zad mein Zehra s.a kay Gulshan ka janaza.
Palta hai Ghar ko yu'n Imam-e-aman a.s ka janaza,
Daikha janaza bhai ka Ghash kha gai Zainab s.a
Sar peet'ti maa ki Qaber pe aa gai Zainab s.a..
Lanatullahe ala aadayhim.....
Shahdat e imam Hassan a.s ka Pursa tamam Momineen ko aur bil khosos Imam e Zamana a.s ke bargah men pesh kartay hai

All to all Ziaraat roza e imam Hussain a.s and Masomineen a.s roza picture

Kahti hai Zainab S.A logon 72 ka hai chahlam urdu Roman sms!

Kahti hai Zainab S.A logon 72 ka hai Chalam,
Akbar a.s ka hai chalam mere Sarwar a.s ka hai chalam.
Umm-e-Rubab s.a Roti hai Aanso baha baha ghum se,
Pat'ta hai Kaleja ke Asghar a.s ka hai chalam.
Run mein jo pyase Qatil huey Auno Muhammad a.s,
Un Tishna Labo Baikas-o-Muztar ka hai Chalam.
Karb-o-bala mein Madhar-e-Qasim ke bain thay,
Lakht-e-Dil-e-Sibt-e-Payambar ka hai Chalam.
Tha Maqsad-e-Shabir as. Rahay Zikir-e-Kirdigaar,
Nok-e-Sina pe Qari-e-Hussain a.s ka Chalam...

Hussain A.S ka ilam Rasool S.A.W.W ka ilam hai! Roman urdu sms!..

Mazkoora kitab main tehreer hai ke huzaifa kehte hain, maine Hazrat Imam Hussain A.S se suna ke aap ne farmaya,

Khuda ki qasam Bani Umiyah ke sar kash log mujhe qatal karne ke liye ikhate honge jab ke Umar Bin Saad sab se paish qadam hoga, Hazrat Imam Hussain A.S ne Mazkoorah qol hayat-e-Peghambar main farmaya tha, is Aetbaar se maine Aan-Hazrat ki khidmat main arz kiya kya Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne aap ko is baat se aagha kar diya hai? Aap ne farmaya, nahin, is ke baad Rasool-e-Khuda S.A.W.W ki khidmat-e-aqdas main hazir howa aur yeh waqiya Aan-Hazrat ke samne bayan kiya, Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya, Mera Ilam Hussain A.S ka aur Hussain A.S ka Ilam mera Ilam hai, hum (khandaan-e- naboowat) haadsaat ke waqiye hone se qabil jante hain.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
103)


Muala Imam Hussain a.s ka letter Habib ibn-e-Mazahir ki janib Roman urud sms!

Habib ibn-e-Mazahir salam ho tum par,

shayed tumhain maa,loom nahain kay hum 2 muharam ko madina say karbala pouhanch chukay hain meray sath is Aalm-e-Ghurbat main meray Ahl-e-kahana aur bachay bhi hain humain charon taraf say Dushmanon nay Ghair liya hai lihaza tum agar humari madad karna chahtay ho to muharam ki Asr-e-Ashoor say pehlay karbala pouhancho, warna phir Asr-e-Qayyamat ko mulaqat hogi tumhara bachapan ka Dost Hussain bint-e-Fatima s.a!...


Hussain a.s kiya hai Roman urdu sms!

Sarkar-e-Do Jahan Hazrat Mustafa Ahemed-e-Mujtaba saww nay farmaya"

1"Hussain as mujh say hain

2"aur main Hussain as say hon

(Tashreeh)

1"Fatima as ki Gouad say lekar karbu,bala ki sar zameen pay shahdat tak Hussain as Mustafa saww say hain.

2"karbu,bala kay sajday say lekar maqam-e-Mehmood tak Mustafa saww Hussain as say hain.

Mera Hussain Meray Hussain as ki Azmat dekho logo

paros main agar kisi bachay ka rona meray Hussain as jesa hai to

Mustafa saww farmatay hain Ay logo jao is Ghar kay Afrad say kaho kay is bachay ko khush rakho is ko Ronay na do.

kion kay is bachay kay Ronay ka andaz meray Hussain as jesa hai

Ay logo Meray Hussain as kay ronay ka Andaz mujhay bara dukh pounchata hai

zara socho meray Musalmano karbubala main Yazediyat nay Meray Hussain as ko kitna Rolaya hai aur Meray Mustafa saww ki kya kaifiyat hogi us waqat.


Imam Hussain A.S ke sir aqadas se aawaz!

(31-971) kitab siratam mustaqeem main tehreer karte hain, jab Hazrat Imam Hussain A.S ka sir aqadas shehar damashq main laya gaya to aik shakhas ne is sir muthar ke pass aayeh kareemah ki tilawat ki,

(Sorahe kehaf aayah 9)

Tarjuma:-- tumhara khayal hai ke ashaab kehaf-o-raqeem humari nishaniyon main se koi ta,ajub khez nishaniyan the, Allah ta,ala ne Aan Hazrat ke sir mutahar ko qoowat goya ataa farmaye to aap ne arbi main kaha,

Tarjuma:-- ashaab kehaf se ta-ajub angeez tar mera qatal aur mera sir uthaya jana hai.
Kehaf aur Raqeem ke Wakiyat par Ta,ajub karnay walon! Nawasa-e-Rasool (SAWW)ka Sar kat kar nazay par sawar kiya jana yeh kehaf ke waqye se bhi ajeeb tar hai aur ziyada dard nak hai.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
129)



Imam Hussain A.S ke paon ki khak chehre par mali urdu roman sms!

Kitab Bahar-ul-al-Nawar aur Fazail-e-al-Hussainia main mazkoor hai.
Aik din Rasool Khuda S.A.W.W ne raste main aik bache ko dekha to beth gaye, usay baghal main liya pyaar kiya, Ashab ne Aa-Hazrat S.A.W.W se is tarha pyaar karne ki wajah poochi to Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,

Maine is bache ke saath is wajah se shafqat ki hai ke woh mere baite Hussain A.S ko dost rakhta hai maine aik din dekha ke yeh bacha mere Hussain A.S ke paon ki khak utha kar apne chehre par laga raha tah, jibreel A.S ne mujhe bataya ke yeh bacha waqiya-e-karbala main mere Hussain A.S ke ashaab main se hoga.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
100)



Za-air-e-Hussain A.S ki shifaat ki zamanat sms!

Jo koi bhi Imam Hussain A.S ki ziyarat kare ga, Peghambar-e-Khuda S.A.W.W ne usay Zamanat di hai ke woh roz-e-qayamat is ki ziyarat karain ge, Rasool-e-Khuda farmate hain.
Allah Ta,ala ke taraf se zamin hon aur mere upar lazim hai ke qayamat ke din apne baite Hussain A.S ke za-air ke ziyarat karon aur usay qayamat ki sakhtiyon aur shadaid se nijat dilate howe us ka haath pakar kar usay bhishet main dakhil karon.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
130 to 131)



Hazrat Imam Sajjad A.S ki khuwahish

Kitab rawandi kitab "daawaat" main tehreer karte hain ke Maula Imam Muhammad Baqir A.S farmate hain,

Mere walid grami Maula Sajjad A.S ne farmaya, aik din main sakhat mareez ho gaya tha, mere padar buzurgawar Imam Hussain A.S ne farmaya, kisi cheez ki khuwahish rakhte ho? Maine arz kiya aisa ban,na pasand karta hon ke Khuda wand kareem se kisi qisam ki paish nahad na karon, siwaye is ke jo mere muqadar main kare.

Mere walid buzurgawar ne farmaya, shabash tum to Hazrat Ibraheem Khaleel-ul-Allah ki manand ho ki manand ho gaye ho jis waqat jibrail A.S ne un se kaha, kiya kisi cheez ki zaroorat hai, unhon ne kaha Allah ta,ala ki bargha main kisi qisam ka izhar nazar nahin rakhta, balke wai mere liye kafi hai aur woh behtareen wakeel-o-nigehbaan hai.



Hasnain A.S shareefeen ke wajood se arsh ko sajaya sms!

Jab qayamat ka din hoga to Rab-Ul-Aalameen ke arsh ko har tarha ki zeenat se mazeen kiya jaye ga, phir noor ke do minmber laye jain ge jin ki lambaye aik so meel hogi, aik ko arsh ke dain aur dosare ko arsh ke bain taraf rakhain ge, is ke bad Hazrat Imam Hassan A.S aur Hazarat Imam Hussain A.S tashreef lain ge, aik par Hazrat Imam Hassan A.S aur dosare par Hazrat Imam Hussain A.S tashreef farma hon ge, Khuda wand muta,ala in do buzurag hastiyon se apne arsh ko is tarha mazeen kare ga jis tarha se aurat apne goshawaron se apne aap ko aarasta karti hai.

(amali Sadoq safa no: 184,



Eid-e-Mubahila Mubarak ho sms

Aqal ki jang Afkar se jeet lo, Zulam ko sabar ke waar se jeet lo,
Her Mubahila "PANJTAN-E-PAK ki tarha se ho,
Saari Duniya ko kirdar se jeet lo.
Tamam Momineen bilkhusos Imam e Zamana (ajtf) ki khidamat me Punjtan ki Kufar par fatih Mubarak ho.

Imam Hussain A.S ki Ziyarat ka sawab Hajj ke barabar kyon,

Mere aik sahab sakhan-o-qalam dost mujh se poochte hain, aksar rawayaat main kyon Imam Hussain A.S ki ziyarat ka ajar-0-sawab Hajj ke barabar qarar diya gaya hai? Maine jawab main kaha deenay Khuda ke dushmanoo aur umaiya ne Hazrat Imam Hussain A.S ke Qalab naznain ko aziyat pohanchaye aur roz arfa se kuch din kabal aap ko makka se nikalne par mujboor kar diya isi wajah se Allah Ta,ala ne Aan Hazrat S.A.W.W ke dushmanoo ki naak Zameen par ragri aur haqiqat Hajj ko tabdeel karke aap ki ziyarat ka sawab Hajj ke sawab se kaye gunha ziyada kar diya, hum bhi Hazrat Imam Hussain A.S ke kalma haq ki sar bulandi aur roz ba roz batil ke sarangoni par Khuda wand muta,ala ke sukar guzar hain.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
141)




Imam Sajjad A.S ka naam Sajjad kyon

(9-981) janab Shaikh Sadoq R.A apni kitab "aalal-al-sharaye" main tehreer karte hain ke jabir ja,afi kehte hain, panchwain rehbar Muala Imam Baqir A.S farmate hain.

Mere walid grami Imam Sajjad A.S ko jab bhi Khuda ki ne-amton main se kisi ne-amat ki yaad aati to sir sajde main rakhte, har is aayah kareemah ki tilawat farmate jis main sajdah hota aur sajdah karte,

who jab bhi kisi narahat kan-nadah kaam kiya kisi huliya-o-gar ke huliye se khuf khate to Allah Ta,ala in ke shar se unhain afsodah farma deta, aap is ne-amat ka shukar ada karne ke liye peshani Zameen par rakhte aur sajdah karte,

aap har wajib namaz ke baad sajdah karte, jab do afrad ke darmiyan sulah karwate to sajdah karte, isi wajah se aap ke tamam azaaye sajdah par sajdah ke aasaar numayan teh, isi wajah se Aa-Hazrat ka naam Sajjad (ziyada sajde karne wala) rakha gaya.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
156 to 157)




Rasool Khuda S.A.W.W ki ziyarat Imam Hussain A.S ki ziyarat hai,

Mazkorah kitab main tehreer karte hain ke aik sahabi se naqal hai, jo pasand karta hai ke roz qayamat Khuda ko dekhe, sakraat mout aur roz-e-qayamat mawaqif aasan ho, pas woh Imam Hussain A.S ki ziyarat ke liye bohat ziyada jaye, kyon ke Hazrat Imam Hussain A.S ki ziyarat karna rasool Khuda S.A.W.W ki ziyarat karna hai.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
140)




Imam Hussain A.S ka maqam sirf Allah janta hai

Mere aik ahle ilam dost mord aetamad guzishta ulmaa main se kisi aik se naqal karte hain ke unhon ne aalim khawab main dekha.

roz qayamat barpa hai, har girho ke log mahshoor ho rahe hain aur Haq Ta,ala ke samne hazir ho rahe hain, woh Allah Ta,ala se in ke maqam-o-martaba aur ajar-0-sawab ke bare main sawal karta hai yahan tak ke maqam shaheed ke bare main poochata hai, use in ka maqam-o-martaba dikhaya jata hai,

aakhir kar shaheedon ke Aaqa-o-Muala Syed-ul-Shuhada S.A ke maqam-o-martabe ke bare main poochta hai,

is waqat Allah Ta,ala ki taraf se khitab hota hai, be shak mere nazdeek is ka aisa maqam-o-martaba hai jise mere aur us ke ilawah koi bhi nahin janta hai.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
140 to 141)



Karbala ke bare main Imam Sajjad A.S ka qol

Allah Ta,ala ne makka ko paida kya aur zameen ko phelane se qabal use haram aur qabil aehtaram qarar diya, lekin karbala ke bare main Hazrat Imam Sajjad A.S Bin Al-Hussain A.S farmate hain,

khuda wand muta,ala ne aafarensh ka,aba se jo bees hazar sal qabal arz karbala ko bator haram aman-o-mubarak muntakhib kar liya, isi tarha jab Allah Ta,ala ne zameer ko hilaya to arz karbala kw is ki norani-o-shafafat turbat ke hamrah upar utha liya aur use bhisht ke behtareen baghat main rakha, be shak yeh sar zameen bhisht ke baghat main aise chamakti hai jese sitaron ke darmiyan darkhshand sitare chamakte hain, is zameen ka noor bhishtiyon ki aankhain kheerah karta hai aur yeh aur yeh zameer buland aawaz se kehti hai main aik pak aur muqadam sar zameer hon ke miane shaheedon ke sardar aur ahle janat ke aaqa-o-mola ko apni ghod mian sulaon gi.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
131 to 132)