Betab Dharkanen hein Tabiyat udas hai be-Noor hein Fizaein falak bhi udaas hai.
Shab-e-Sogwar Shaam-0-Sehir hai Bujhi bujhi kiya chand Muharam ka kahin aa gaya hai.
Muharam ka chand Nazar atay hi ek pagam Nazar aata hai.
aye momeen to jag muala Hussain a.s ka pagam nazar aata hai.
Haq ki janib bahro Burain se roko ke Karbala men yeh Aelan hota hai.
yazeed aur yazeediyat humay shah nakam rahin hai rahay gi
Sada ya Hussain as ki Kal bhi thi aaj bhi hai tahayat rahain gi.
Asslam alikum yabni Rasool SAWW aaba Abdul hi Hussain a.s zinda abad tha hai rahin ga yazeediyat pe Lannat Beshumar
sms Honour of Panjtan e Pak a.s Majalis Darban Piotry natural wallpapers some thing more
Saturday, November 26, 2011
Muharam ka Chand Roman urdu sms!
Kya qatil Hussain A.S shifa-att ka umeedwar hai sms?
Mazkorah kitab main aaya hai ke umaish kehte hain.
Maine aik shakhas ko Khana-Ka-aba ka tawaf karte dekha, jo keh raha tha Khuda wand mujhe bakhash de aur main janta hon ke tu hargiz mujhe ma-af nahin kare ga,
maine us se poocha tum aisa kyon keh rahe ho?
Us ne kaha, main in logon main se tah jin ke zime yeh kaam lagaya gaya tah ke Hazrat Imam Hussain A.S ka sir utha kar yazeed ke pass le jaon, dorane safar aik boot khane ke pass qayam kiya, wahan par daster khawan bichaya ke khana wagerah khayen, achanak hum ne dekha ke aik haath deewar se nikla jis ne tehreer kiya,
Kiya woh umat jis ne Hussain A.S ko qatal kiya woh roz qayamat is ke jad se shifa-at ki umeed rakhti hai?
Humare upar khuf tari hogaya aur hum wehshat zadah ho gaye, hum main se kuch logon ne is haath ke pakarna chaha, lekin woh chup gaya, jab hum majlis pazeer main dakhil howe to mujhe raat ko hifazat karne par bitha diya, maine dekha ke Hazrat Aadam A.S Ibhraheem A.S Moosa A.S essa A.S aur Hazrat Muhammad S.A.W.W farishton ki aik jama-at ke hamrah nazil howe,
Jibreel A.S ne har kisi par soor phonka woh tamam ke tamam mar gaye lekin jab Jibreel A.S mere nazdeek aaya to Peghambar-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya, usay chor do Khuda usay na bakhshe pas us ne mujhe chor diya.
(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
129 to 130)
Monday, November 21, 2011
Sunday, November 20, 2011
Pakistani hona Bhi Kitna Mushkil hay! sms
2. School Main Urdu bolo,
3. Paracha Angrezi (English) main hal karo,
4. 2013 se class 6 se Chinies Language compulsory ho gi,
5. Ager Mar jao to hisab kitab Wari Arabi main hal re Pakistani tuhunji Qismat.
Panjtan nahi to Koch nahi sms
Gham ka ilaaj is ke siwa or kuch nahi.
Khaak-e-Shifa hay meri dawa or kuch nahi,
Ghurbat ki Taiz dhoop se bach nay ke waste.
Parhtay Raho Hadees-e-Kisa or kuch nahi,
Maal-e-Khadija s.a, Zarb-e-Ali a.s Sajda-e-Hussain a.s
Islam men bas is ke siwa or kuch nahi.
Gar Chahte ho ke "Huzoor ki Shifa'at Mil jae tujhay!
Karo un ki "All" se Wafa or kuch nahi.
U nay kaha ke deen ki tareekh puri likh do,
Men nay Faqat Hussain likha or kuch nahi
Saturday, November 19, 2011
Best of Faiz Ahmed Faiz ki Soch
Chalay Bhi Aao kay Gulshan ka karobar Cahalay,
Qafas Uddas Hai Yaaro Saba Say kuch To kaho,
kahain To Baharay khuda Aaj zikkaray Yaar Chalay,
Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shabay Hijjran,
Humray Ashak Tumhari Aakbat Sanwar Chalay,
Hua Jo Teer-e-Nazar Neem kash To kaya Hasil,
Maza To Jab Hai kay Seenay kay Aar Par Chalay,
Makam Faiz koi Raah Mein jacha Hi Nahain,
kui Yaar Say Niklay To Sui Yaar Chalay..
Friday, November 18, 2011
Maula imam Hassan Askari a.s Roman urdu SMS
Hazrat imam Hassan Askari a.s ek Tawil Rawayat jis men ek misaaq ka zikkar farmatay hain jo khuda e pak nay apnay bandon se liya tha kay Zaman men farmatay hain. A-Adam agar aik kafir ya tamam kufaar Paeghamber kay Ahelay Bait mein ya us kay Ashab mein say kisi aik ko Dost Rakhtay hon gay To khuda unhain un kay amal ki jaza Dega aur Akhir Qar unhain Toubah karnay aur Eiman lanay ki to toufeeq us'say inayat farmaega phir unhain appni jannat mein dakhil farmaega khuda-o-Aalay Muhammad saww aur Aan'Hazrat saww kay Ashab kay Doston mein say har aik par itni Rahmat Nazil Farmaiga kay agar awal Ta Akhir khuda ki Tamam Mukhlooq ki Tadad ko jama kya jay aur woh sabhi kafir hon to sub kay li'ay kafi hogi aur Akhir kar woh Eiman ki Taraf lout Aaega Ta'kay us kay sabab jannat mein Dakhil Ho sakay.
Agar koi shakhs Muhammad-o-Aalay Muhammad saww aur un kay Naik Ashab Ya Un Mein Say Kisi Aik Kay Sath Dushmani Rakhay'ga To khuda Us ko Aesa Azab De'ga kay Agar Woh Azab Tamam Mukhlooq Par Taqseem kya Jay To Sub Halak ho'jain Gay.
Qayamat kay Din Char Tarah kay Aadmiyon ki Shifat karonga Agarchay woh tamam Ahelay Zameen kay Gunhaon ka Wazan Appnay Sir lay kar Meray Pas Aain' woh Log jo Meray Ahelay Bait ki Madad kartay Hon' woh Log jo Meray Ahelay Bait as ki Zaroriyat ko Pura kartay Rahay woh Log jo Un ko Dil Aur Zuban Say Dost Rakhtay Hon Aur woh Log jo Meray Ahelay Bait as ki Hamayat karnay kay Sath Un ka Diffa kartay Rahay Hon"
Aalay Muhammad as kay Sath Aik Din ki Muhabbat Aik Sal ki Ibadat Say Afzal Hai' Jo koi Bhi Aalay Muhammad as ki Muhabbat kay Sath is Doniya Say Rukhsat Howa To woh Jannat Mein Dakhil Hoga.
Meray Nazdeek Tum Mein woh Behatar hai jo Meray Ahelay Bait as kay Li'ay Behtar Ho.
Pull Sarat par Tum Mein Say Sub Say Zayada Sabit Qadam woh Hoga jis ki Meray Ahelay Bait as Aur Ashab kay Sath Muhabbat Zayada Hogi.
Meri Aur Meray Ahelay as ki Muhabbat Sat Maqamat par Faida De'gi Aesay Sat Maqamat kay Jin Mein khouf-o-weshat Zayada Hai Moat kay waqat Qabar Mein' Qabar Say Uthanay kay waqat' Jab Namay Amal Milay'ga' Hisab-o-kitab kay waqat' jab Meezan lagay'ga Aur Pull Sarat Say Guzrnay kay waqat"..
Sheikh Sadoq r.a sms
Sheikh Sadoq r.a kitab Amali main Imam Baqir as say aur Aap appnay walid Muhtaram say aur who appnay walid Buzaragwar say aur woh Rasool akram saww say Naqal kartay hain kay aap nay farmaya:
Jo koi chahta hai kay mera Taqrab Hasil karay aur mujah par Aesa Haq Rakhta ho jo Qayamat kay din us'say faida pouhanchay to us'say chahi'aye Meray Ahelay Bait as kay sath Ahsan karay aur un ko khush karnay kay asbab farham karay.
Humaray Mutaliq Giloo Karnay se Bachtay Rehana sms
Humaray Mutaliq Giloo karnay say Bachtay Rehana' kion kay Hum khuda kay parwish ki'ay hoi Banday hain us waqat humari Fazilat mein jo kehna chahao tum kaho,
Imam Hassan Askari ki tafseer mian Aan Hazrat say Naqal huwa hai,
Humain Maqam Abubiyat say Buland Na jano,
Us kay baad jo chahao kahao tum humari Haqeeqat ki Azmat tak Nahain punhanch saktay. Nasara ki Tarah Humaray Baray main Gillo na karna kion kay mein Gali logon say Be'zar hon.
Imam Hassan Askari a.s
Imarat ko us ki Taqat say Zayada Buland na karo' Warna woh Gir jaegi Humain khuda ki Makhlooq Qarar Denay kay baad Humaray Mutaliq jo Fazilat Bhi Bayan karna chahao Bayan karo.
Lekin humari Azmat ko Nahain pa saktay
(Kitab Manaqib Ahelay Bait a.s)
Bay umeed log farman e imam Jaffar Sadiq a.s sms
"men un logon ki is umaat men say nijat ki umeed rakhta hon jo humare haq ko phanchantay hon albata teen tarha ke log asy hain junn ki nijat ki umeed nahi hai".
- Woh jo zalmana hukomat kartay hon,
- Jo fasad aur buri khowahishat rakhtay hon,
- Wo jo sir e aam buraiyon ka artakab kartay hon.
Surat Al-Insaan Ayat no 30
Tafseer
Khuda nay Aaima as kay Dilon ko Appnay Iraday ka Tehkana Banaya hai jab khuda kisi cheez ko chahta hai to yeh Hazraat bhi isi ko chahtay hain aur Qoal khuda' kay Oliya khuda wohi chahtay hain jo khuda chahta hai.
Be'shak Imam as khuda kay ki Tajli gaah hai imam as Nahain chahtay magar wohi jo khuda chahta hai.
(Kitab Manaqib Ahelay Bait)
Thursday, November 17, 2011
best Farman e Imam e Jaffar Sadiq as sms
Jo koi bhi aesay shaks kay sath Bethay jo Humaray Aib Bayan karay, ya Aesay shaks ki Tareef karay jo humain pusht kar gaya ho, ya aesay shaks kay sath Rabta karay jo hum say Rabta Munqata kar chukka ho, ya aesay shaks say Rabta aur Talluq khtam karay jis ka Humaray sath Talluq ho, ya Humaray Dushman kay sath Dosti karay, ya Humaray Dost kay sath Dushmani karay Yaqeeni Tour par us nay surah Hamad aur Quran Azeem ko Nazil karnay walay khuda kay sath kufir kiya.
(Kitab Manaqib Ahelay Bait as )
Momin Humaisha us mein koshan Rehta hai kay Nafas kay sath jihad karay Ta'kay khuwahishat e Nafas par Ghalib Aa sakay aur Nafas kay Teray pan ko Dursat kar sakay, Rah khuda mein Nafas par sati ki Mukhalifat karta hai, aur jab kabhi khuwahishat Nafsani us par Ghalib Aa jati hain aur un ki Perwi par mayel honay lagta hai To us waqat khuda us ki madad karta hai us ki khuwahishat kay Ghalba say Nijat day kar Bulland karta hai, usay Bakhsh Deta hai aur woh Dobara appnay Aap ko Aamadah karta hai aur Be'dar ho jata hai
Surat Al-Ahezab Ayat no: 4 and Farman e imam Baqir a.s sms
Tarjuma:
Khuda nay kisi Aadmi kay Pehlo mein Do Dil Nahain Rakhay kay Aik Dil kay sath Dosti karay aur Dosray kay sath Dushmani karay aesa nahain ho sakta:
Farman imam Baqir as:
Humaray Dost Humaray sath Aesi khalis Dosti Rakhtay hain jesay sonay ko agar Aag mein Dala jay To us ki milawat khatam ho jati hai aur khalis ho jata hai.
Jo koi yeh jan'na chahta hai kay Humain Dost Rakhta hai ya Nahain,To appnay Dil ka imtihan karay,agar Humari Dosti kay sath Humaray Dushman ki Dosti ko shareek karay To woh Humara Nahain hai aur hum us say Nahain hain,khuda e jibrail,aur mikaeel as us kay Dushman hain aur khuda kafiron ka Dushman hai.
(Kitab Manaqib Ahela Bait)
Imam Jaffar Sadiq a.s farmatay hain Sms:
Humari wilayat hargiz tum tak nahi puhanch sakti magar parhaiz gari, koshish karnay say, Such Bolnay say, Amanat ko ada karnay say, Humsaiyon kay sath acha salook karnay say, Achay Ikhlaque Rakhnay say, Wada-e-iffa karnay say, Sulah Rehmi karnay say aur appnay sajdon ko lamba karnay ka sath, Humari madad karo, Agar Ameer-ul-Momineen a.s kay Qatil ki ammanat bhi meray paas hoti to mein us say wapis kar deta
Farman Rasool Akaram salo Aleh wa’alehi sms
Jis kisi ko bhi Allah Tala Meray Ahelay Bait main say Aaima Atthar as ki Muhabbat Naseeb Farmay To Doniya-o-Aakhrat ki bhalai is kay shmil hal ho jati hai kisi ko shak nahain hona chahiye kay woh jannat mein dakhil nahain hoga Be'shak meray Ahelay Bait as ki muhabbat kay Bees Asrat hain un mein say das Doniya kay sath hain aur das Aakhrat kay sath marboot hain woh Asrat jo Doniya kay sath marboot hain woh yeh hain
1:Doniya ki Taraf Raghbat na karna
2:Amal karnay Mein Be'had koshish karna
3:Deen Mein Taqwa Rakhna
4:Ibadat ki Taraf Ma'il Hona
5:Moat say Qabil Toubah karna
6:Raton ko Bedar Rehanay ki Taraf Shoaq Rakhna
7:Jo Logon kay Pas hai us say Na Umaid Hona
8:khuda kay Ihkam ka khayal Rakhna
9:Doniya ko Dushman Samjhana
10:Sakhawat karna
Aakhrat kay Asrat yeh Hain
1:us ka Nama-e-Aamal khola Nahain jay
2:Aamal ko Tolnay ka Tarazo Naseeb Nahain Hoga
3:Nama-e-Aamal us kay Daien Hath mein Diya jay ga
4:us kay liye jahnam say Nijat likh di jay gi
5:us ka chahra sufaid aur Noorani Hoga
6:jannat kay libas us ko pehnain jaingay
7:Appnay Reshtaydaron mein say 100 afrad ki shifat kar sakay ga
8:khuda us ki Taraf Nazar Rehmat Farmaiga
9:jannat ka Taj us kay sir par Rakha jayga
10:Bagair Hisab kay jannat mein Dakhil hoga
Pas khosh naseeb hain who log jo meri ahelay bait as. Ko dost rakhain gay.
Rasool e Akram SAWW nay Farmaya:
Meri aur meray Ahelay bait a.s ki Mohabbat saat mukamaat par Faida day gi,
Asy saat mukamaat ke junn me khoof wo wahshat ziyada hai muat ke waqat,
Qabar men, qabar say uthnay ke waqat, jab namain amal maly ga, hisab wo kitab ke waqat, jab meezan lagay ga aur pul serat say guzarnay ke waqat
Tuesday, November 15, 2011
Monday, November 14, 2011
man Kunto Maula Fahaza Ali Muala Eid-e-Ghadeer Mubarak ho Sms
Eid e ghadeer ishq ki manzil ka naam hai
Mehfil saji hai dhoop mein kiya ahtamam hai
Bheja Rab nay Taaj Nabi (SAWW) ke haath mein
Goya aaj dulha bana mera imam as hai
Taaj Poshi-e-Muala e Kainaat a.s bohat bohat Mubarak ho tamam Momeneen ko .
18 zil-hajj
Eid e Ghadeer Allah ke Rasool (SAWW) nay Farmaya:
Jis Jis ka mein Maula us us ka Ali a.s Maula
Maula aap tamam Shiyan-e-Maula a.s ko eid-e-Ghadeer eid-e-Wilayate Ali Ibni Abu Talib a.s ki Bohat bohat Mubarak ho.
Farman e Imam e Musa bin Jaffar Sadiq a.s
Jab do momin Aapas Mein Mulaqat kartay hain aur khuda ka zikkar kartay hain aur hum ahelay bait ka as kay fazail ka zikkar kartay hain to Iblees kay chahray par jitna Goshat hota hai gir jata hai yahan tak kay is ki rooh shidat darad say cheekhti hai Asman kay Farshtay aur jannat kay khazana dar usay sun letay hain aur us par lanat kartay hain aur koi maqrib farshta baqi nahain rehta magar yeh kay us par lanat karta hai.
(Al-kafi j2/s188hadees no17- Al-sajar-Al-anwar:j63/s258hadees 131 Manaqib Ahelay Bait)
Aik dosri rewayat jo tafseer Imam Hassan as main Paeghamber isalam say Naqal hoi hai
Aap farmatay hain:
A-Umatay Muhammad (saww)jab tum masaib-o- Aalam main Giraftar ho jao to Muhammad-o- Aalay Muhammad(saww) ko yaad karo ta,kay khuda un ki Barkat say un farshiton ki jo tum par mouqil hain shetanon kay muqablay mein madad farmain
(kitab Manaqib Ahelay Bait)
Har shetan kay Muqabilay main Aik Lakh Farshta janag kay liye Aamada ho jata hai jab kay woh Aag ki sawariyon par sawar hotay hain un kay Hathon mein Aag ki Talwarain Naizay,khanjar,Teer,Aur Dosra Aag ka Aslah hota hai, Farshatay us Aslah kay sath un ko Qatal kartay hain Yahan Tak kay Iblees ko Girftar kar kay Aslah say us par war kartay hain
(Kitab Munaqib Ahelay Bait)
Agar Chahtay ho kay Iblees kay Zakham Baqi Rahain Aur Hamaisha Ghamnak Rahay To Ata,at Khuda Aur Muhammad-o-
Aalay Muhammad as par Durood ko Hamaisha Baja latay Raho Agar Tumnay Aesa Na kiya To Iblees kay Aseer Ban jaogay aur us kay Lashkar Tum par Sawar Hojaingay
(Tafseer Mansoob Ba Imam Hassan Askarri as pag no392)
Furra,at Aur She,aanay Ali as
Jesa kay Imam Jafar Sadiq as Farmatay hain:
Furra'at She'aanay Ali as kay liye hai kisi ko bhi Furra'at kay pani say Danai-o-Hikkamat Hasil Nahain Hogi magar yeh kay woh Hum Ahelay Bait as kay sath Muhabbat-o-Mawadat karta ho"
Tuesday, November 8, 2011
Hajj ko umrah men Tabdil kiya Muala Husssain a.s nay!
"Main Hajj ke Moqaa pe Khana Kaaba Ko chhor kar ja raha hon kiyon ke man aesy logon ko dekh raha hon jo Haakim-e-sham ki Taraf se Apny Ahramon men Talwarin chhupai Mery Qatal ke liye jo dar jok Makkah aa Rahin hain".
"Wallah, Main Hussain a.s apny Qatal se nahin darta mager is liye ja raha hon ke Baitullah men Mery Qata se Khuda ke Ghar ki Hurmat Paimaal na ho".
(Imam Hussain a.s ka Makkah men Akhri Khutba)
Imam Hussain A.S ki Ziyarat ka sawab Hajj ke barabar kyon,
Mere aik sahab sakhan-o-qalam dost mujh se poochte hain, aksar rawayaat main kyon Imam Hussain A.S ki ziyarat ka ajar-0-sawab Hajj ke barabar qarar diya gaya hai? Maine jawab main kaha deenay Khuda ke dushmanoo aur amiya ne Hazrat Imam Hussain A.S ke Qalab naznain ko aziyat pohanchaye aur roz arfa se kuch din kabal aap ko makka se nikalne par mujboor kar diya isi wajah se Allah Ta,ala ne Aan Hazrat S.A.W.W ke dushmanoo ki naak Zameen par ragri aur haqiqat Hajj ko tabdeel karke aap ki ziyarat ka sawab Hajj ke sawab se kaye gunha ziyada kar diya, hum bhi Hazrat Imam Hussain A.S ke kalma haq ki sar bulandi aur roz ba roz batil ke sarangoni par Khuda wand muta,ala ke shukar guzar hain.
(Manaqib Ahelay Bait a.s page No: 73
Sunday, November 6, 2011
Thursday, November 3, 2011
Khuda ki nimat Ahelay Bait hai?
"Appany Rab ki Nimaton ko Yad karo."
Ahelay Bait as kay faza,il ko yad karna dar haqeeqat khuda ki azeem tareen nimaton ki yad karna hai is matlab ki ta,eed imam Baqir as ki yeh rawayat karti hai.
Aap nay farmaya: jang Nehrwan say wapsi kay ba,d logon nay Ameer ul Momeneen as say araz kiya kay ma,wiya Aap ko bura bhala kehta hai aur aap kay ashab r.a ko Qatal kar raha hai.
Aap a.s nay aik khutba kay ziman mein khuda ki hamad-o-sana paeghamber akaram as par dourod-o-salam aur khuda ki appnay Rasool par nimaton ki yad dihani kay ba,d farmaya:
agar Quran ki yeh ayat na hoti to jo mein keh raha hon na kehta:
khuda tala farmata hai:
us kay ba,d aap nay farmaya:
A-parwardigar"to is la,iq hai kay teri hamad-o-sana ki jaye kion kay teri nimatain un ginat hain aur teray is fazal-o-karam ki wajah say tujahay bhulaya nahain ja sakta,
A-logo mujhtak tumhari batain pouhanchi hain be,shak mein dekh raha hon kay meri moat nazdeek hai sha,id kay tum meri azmat say ja,hil ho aur mujhay abhi tak pehchana nahian hai mein tumharay darmiyan wohi choray ja raha hon jo Rasool-e-khuda as chor gae jo kay khuda ki kitab aur meri itrat hai aur yeh itrat nijat ki taraf hidayat karnay walay khatim al Anbiya a.s naikon kay sardar aur Rasool-e-Mustafa as ki itrat hai
(BISHARAT AL MUSTAFA SA NO13)
Zarra ka Imam Jaffar Sadiq A.s se Question?
Zarra:Imam Jaffar Sadiq as Say Araz karta Hai Kay Farzand Rasool(saww) Muarfat Ilahi Kay Ba,d konsa Amal Afzal Tareen Hai:
Hazrat Nay Farmaya :
Muarfat khuda kay Ba,d koi Amal Bhi Namaz kay Ham Palla Nahain
Awal Zikkar kay Ba,d koi Bhi Amal Zakkat kay Ham Palla Nahain:
In Amaal kay Ba,d koi Amal Bhi Rozay kay Barabar Nahain Hai
Is kay Ba,d Sub Amalon Say Hajj Afzal Amal Hai Mazkoor Subhi Ammaal ki Ibtada Aur Intaha Humari Hi Muarfat Hai
(kitab Munaqib Ahelay Bait Amali Tousa 294)
Be,shak LA,ILA,ILA,ALLAH kay laye Shara,it Hain Mein Aur Meri Olad In Shara,it Mein Say Hain
(kitab Munaqib Ahelay Bait Shar,h Gharar Al
Hukam:2:415/Hadees :3479)
KALAMA LA,ILA,ILA,ALLAH Mera Mazboot Qilla Hai Pas Jo koi Bhi Meray Is Qillay Mein Dakhil Ho Gaya woh Meray Azab Say Mehfooz-o-Mamoon Ho Gaya.
(kitab Munaqib Ahelay Bait Hazrat Imam Jaffar Sadiq as)
Wednesday, November 2, 2011
IMAM-E-MUBEEN KON HAI?
Humnay har cheez ko Imam Mubeen mein jama kardiya hai.
Nazil hoi to do ashab Hazrat Abubakar aur Hazrat Ummar r.a araz karnay lagay ya Rasool allah imam mubeen say kya maqsood aur murad hai kya is say murad (Turait) hai. Aap nay farmaya nahain unhonay kaha phir hathmin is say murad Quran hoga Aap saww nay farmaya nahain is asna mein Ameer ul Momeneen a.s wahan Aa gae Paeghamber Akaram (saww) nay in ki taraf ishara kiya aur farmaya yeh woh Imama mubeen hai. jis mein khuda nay har cheez ka ilam rakh diya hai be,shak haqeeqi tor par woh shakhs khush bakhat aur sadat mand hai jo moat say phelay aur ba,d mein Ali as ko dost rakhata ho aur haqeeqi ma,na mein gumrah aur bad,bakhat woh hai jo zindagi mein aur marnay kay ba,d Ali as ko dushman rakhta ho.
(MISSARAQ AL ANWAR 55: PAGE NO 220)
Muhabbat e Ahelay Bait (SAWW)
(sorah-e-ibarhim ayat no37)
TAFSEER
(AL,QAFI JILD 1/S392:HADEES NO 1:)
Pas agar tum chahtay ho kay tumhari zindagi Anbiya a.s ki tarah ho
aur tumhari moat Shu'da jesi ho to Wilayat Ahelay Bait a.s ko qabool karo aur appnay Amal-o-Raftar zindagi mein un ki pairvi karo ta kay jo tumhain passand hai woh dekh sako
yeh aik aesi haqeeqat hai kay jis kay mutaliq Rasool Akram (saww) nay wazahat farmai hai.
Farmanay Rasool e Pak (SAWW)
Jo koi chahta hai kay anbiya as jesi zindagi guzaray aur shu,da jesi moat Aye aur jannat mein us ka thikana ho, "jisay meharban khuda nay banaya hai" usay chahiye hazrat Ali as aur un kay osiya ki wilayat ko qabool kar lay aur un kay ba,d jo imam hain un ki iqtada kar lay woh sub meri itrat hain aur meri tayunat say un ko paida kiya gaya hai
A-parwardiga mera faham aur ilam un ko atta kar
phir irshad farmaya:
us shakhs kay liye halaqat ho jo in ki mukhalifat karay A-khuda aesay logon ko meri shafat naseeb na farma
(Kitab Manaqib Ahelay Bait Al-Qafi 208 Hadees no 3)
Tuesday, November 1, 2011
Haya e Aurat Aur Duniya
Adab ki Aar mein Targheeb-e-Romani nahain jati,
Khuda janay Naslay Nooh ka kya Anjam hona hai.
Watan Say Fahash Naghmon ki Farwani nahin jati,
Azab Aaye To Us Mein Senkron ki Jan jati hai,
Nahain Jati To Shetano ki Shetani Nahain Jati,
kaheen Basti ki Basti Bound Pani ko Tarsay ,
kaheen Barish Barsti hai To Tughiyani Nahain jati,
Jahan kay Zaray Zaray Say Numaya Hai jalal Us ka
Magar Hum Say khuda ki Zaat Pehchani Nahain jati,
Zamana is Qadar Qayal Hua Hai ,FAIZ, Jhooton ka
Jo Such kehtay Hain Un ki To Bat Bhi Mani Nahain jati,
(Faiz Ahmed Faiz)