Jo koi bhi aesay shaks kay sath Bethay jo Humaray Aib Bayan karay, ya Aesay shaks ki Tareef karay jo humain pusht kar gaya ho, ya aesay shaks kay sath Rabta karay jo hum say Rabta Munqata kar chukka ho, ya aesay shaks say Rabta aur Talluq khtam karay jis ka Humaray sath Talluq ho, ya Humaray Dushman kay sath Dosti karay, ya Humaray Dost kay sath Dushmani karay Yaqeeni Tour par us nay surah Hamad aur Quran Azeem ko Nazil karnay walay khuda kay sath kufir kiya.
(Kitab Manaqib Ahelay Bait as )
Momin Humaisha us mein koshan Rehta hai kay Nafas kay sath jihad karay Ta'kay khuwahishat e Nafas par Ghalib Aa sakay aur Nafas kay Teray pan ko Dursat kar sakay, Rah khuda mein Nafas par sati ki Mukhalifat karta hai, aur jab kabhi khuwahishat Nafsani us par Ghalib Aa jati hain aur un ki Perwi par mayel honay lagta hai To us waqat khuda us ki madad karta hai us ki khuwahishat kay Ghalba say Nijat day kar Bulland karta hai, usay Bakhsh Deta hai aur woh Dobara appnay Aap ko Aamadah karta hai aur Be'dar ho jata hai
No comments:
Post a Comment