Jab do momin Aapas Mein Mulaqat kartay hain aur khuda ka zikkar kartay hain aur hum ahelay bait ka as kay fazail ka zikkar kartay hain to Iblees kay chahray par jitna Goshat hota hai gir jata hai yahan tak kay is ki rooh shidat darad say cheekhti hai Asman kay Farshtay aur jannat kay khazana dar usay sun letay hain aur us par lanat kartay hain aur koi maqrib farshta baqi nahain rehta magar yeh kay us par lanat karta hai.
(Al-kafi j2/s188hadees no17- Al-sajar-Al-anwar:j63/s258hadees 131 Manaqib Ahelay Bait)
Aik dosri rewayat jo tafseer Imam Hassan as main Paeghamber isalam say Naqal hoi hai
Aap farmatay hain:
A-Umatay Muhammad (saww)jab tum masaib-o- Aalam main Giraftar ho jao to Muhammad-o- Aalay Muhammad(saww) ko yaad karo ta,kay khuda un ki Barkat say un farshiton ki jo tum par mouqil hain shetanon kay muqablay mein madad farmain
(kitab Manaqib Ahelay Bait)
Har shetan kay Muqabilay main Aik Lakh Farshta janag kay liye Aamada ho jata hai jab kay woh Aag ki sawariyon par sawar hotay hain un kay Hathon mein Aag ki Talwarain Naizay,khanjar,Teer,Aur Dosra Aag ka Aslah hota hai, Farshatay us Aslah kay sath un ko Qatal kartay hain Yahan Tak kay Iblees ko Girftar kar kay Aslah say us par war kartay hain
(Kitab Munaqib Ahelay Bait)
Agar Chahtay ho kay Iblees kay Zakham Baqi Rahain Aur Hamaisha Ghamnak Rahay To Ata,at Khuda Aur Muhammad-o-
Aalay Muhammad as par Durood ko Hamaisha Baja latay Raho Agar Tumnay Aesa Na kiya To Iblees kay Aseer Ban jaogay aur us kay Lashkar Tum par Sawar Hojaingay
(Tafseer Mansoob Ba Imam Hassan Askarri as pag no392)
Furra,at Aur She,aanay Ali as
Jesa kay Imam Jafar Sadiq as Farmatay hain:
Furra'at She'aanay Ali as kay liye hai kisi ko bhi Furra'at kay pani say Danai-o-Hikkamat Hasil Nahain Hogi magar yeh kay woh Hum Ahelay Bait as kay sath Muhabbat-o-Mawadat karta ho"
No comments:
Post a Comment