HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Wednesday, December 28, 2011

Nazim Ali Baladi Husri urdu roman sms!

Hijab-e-Ghaib Utha Dijiye Khuda ke liye Urdu Roman Sms!

Parda-e-Hijab-e-Ghaib utha dijiye Khuda ke liye,
Jabeen Trasti hay bas Tery Naqsh-e-Paak ke liye,
Yazid-e-waqat se keh de koi Zara ja kar,
hay ek Hussain a.s abhi bhi teri fana ke liye,
Zahoor aap ka dekhon yahi dua mangi,
uthay hain hath jo meray kabhi dua ke liye,
wo jisko Roye thay 40 Saal tak Abid a.s


Pak Muhammad SAWW ka Irshad!

Pak muhammad Mustafa (SAWW) nay irshad Farmaya ke "Jo Shohar apni biwi ke sil'silay main ghafil ho aur us ke parrday aur iffaat-e-nafs ke baary main khayal na rakhay to aesa Shohar "Daywas"(be-Ghairat) hai".
Refernce Book: Fiqa-e-Raza.
Pak imam Raza a.s


Lut ke Phir Lutne Chala Hai Qafla SAJJAD(a.s) Ka.
Sham Tak Noha Perhe Ge KARBALA SAJJJAD (a.s) Ka.
Tashna-e-Lab Bali SAKINA (s.a) hayatay Zindan Main,
Qaraz Ab Kese Utare L’QAMA SAJJAD(a.s) ka.
Ghar jala,Qadi Bane Darbar Main Peshi Hui
Imtihan Bad-e-ALI(a.s) Hai Doosra
SAJJAD (a.s) ka. Sochta Hun KARBALA Se Sham ke Bazar Tak,
Bach Gaye Islam Lekin, Kiya Bacha
SAJJAD (a.s) Ka?
“NAZIM BALADI”


“ Mathur Laal”
“ Hindu Poet”
Tere Dunya Me Ay KUDA-E-HUSSAIN(a.s)
Mera koi Nahi Hai SIWA-E-HUSSAIN(a.s)

Qaid Hindu Ki Ha Na Muslim Ke
Dil-e-pur Dard Main Samma-e-
HUSSAIN(a.s).
Main Jo Ganga Se Pohncha Kausar Par
Dekh Kar Mujh Ko
Muskura-e- HUSSAIN (a.s)

Us K Jeene Ka Faida Kya Ha?
Jis Ke Dil Me Nahi WILA-E-HUSSSAIN(a.s)
Haan Me Hindu To Hoon Magar “Mathur”
Ba KHUDA Dil Se Hoon
Fida-e-HUSSAIN(a.s)
“Nazim Baladi”

Friday, December 23, 2011

Akhtar Hussain Khaskheli Tando jam sms!

Adna Malang. in sindhi sms!

Adna Malang Aahyan Ali a.s Munhunjo Imam aahy,
sher-e-Khuada jo Miliyo un khe Rab khaan Maqam aahy.
Dam dam Pukariyabn tho Kaamil Waseelo rahbar,
Jannat khe Talabiyan chho Maan Un ji Muhabbat inam aahy.
Duniya Saan Garz naahy Chahiyan na koi Rutbo,
Raahi Aahiyan Raah Un jo jity Naimat Tamam aahy.
Nooh Naji ji Kashti thi wai Nijaat waari,
Oaly Lagi ja Punjtan a.s haasil un khe nek anjam aahy.
Sahrai Purfiaz Zikir Un jo rakhej Subuh Sham Wird Panhenjo,
Nabiyan jo Peshwa Aa Ali a.s Mutaqiyan jo imam aahy.
Akhtar Hussain (Sahrai)


Ameer Mukhtar ko ibn e Ziyad L.A nay darbar main bula kar kaha ke!
"Tum logon nay Ali a.s aur aolad Ali a.s ko had se barha diya hay. tum log kufur pe ho...
Ameer Mukhtar nay kaha!
"Aye zalim sun!
14veen ke chand ko Gali main betha howah kutta dekh kar sari raat bhonkta hai mager na to chand apni jaga chhort hy aur na hi uski chandni main koi kami aati hay.
bal'k woh apni usi aab o taab ur be niazi ke sath duniya ko ujala deta rahta hay!..
aye ibn i ziyad L.A tu gali main betha howah wohi kutta haiy, tu wilayat-e-aal-e-Rasool pak (P.B.U.H) ke khilaf Bhonk jitna bhonkna hay!..
Ref: Nasir-e-Aal-e-Ali page #86

>

Farman e Muala Ali a.s on Friendships in roman urdu!

>

Farman e Muala Ali a.s hai.
1) Dosti karnay se Pahlay Sourat ko nahi Seerat ko dekho.
2)Acha dost woh hay jo tumain khush dekh kar khush ho.

Farmanay Imam e Musa e Kazim a.s in roman urdu sms!


Deen e Khuda ko sumjho kiyon ke fiqah Baserat ki kaleed aur Mukamle ibadat aur duniya o aakhrat main azeem martbon tak ponchnay ka zariya (sawab) hai,
Faqih ke fazilat abid per usi trah hai, jis tarah sooraj ki fazilat sitaron per hai.
aur jo shakhas deen ki fiqah na hasil kare khuda us ka koi amal qabool nahi karta.
Refernce book:
Bihar j:78.p:321

Tuesday, December 20, 2011

Best Sms Honour of Imam e Sajjad a.s in roman urdu!

Imam Sajjad a.s ka Imam Hussain a.s par Gharya karna!


20 saal tak aap nay apnay walid e gharami Hussain a.s par ghariya kiya.
koi khana bhi aap a.s ke samnay nahi rakha gaya mager yeh ke aap a.s nay usy dekh kar ghariya kiya.
is had tak aap a.s nay ghariya kiya ke aap a.s ke eik ghulam nay arz kiya.
Yabnay Rasool ul allah saww kiya woh waqat abhi nahi aaya ke aap a.s ka gam khatam ho, aap ka rona kam hojain?
Imam e pak nay Farmaya:
Afsos hai tujh par Yaqoob Nabi kay 12 Betay thay khuda nay un main say
aik ko us ki nazar say chupaya liya:
is qadar is par Ro,ay kay Aankhain Na,Beena ho gain aur gham ki wajaha say
sir kay bal sufaid ho gae,aur gham ki wajaha say kamar khum ho gai,
dar halaan,kay woh jantay thay kay un ka Beta zindah hai,
lekin main nay appni Aankhon kay samnay apnay Baap,Bhai,chacha,aur appni
Ahelay Bait main sya 17 afrad ko Qatal hotay hoi dekha,aur un kay badan
khoon say Aaloodah zameen par paray thay
pess kis tarah mera Gham khtam ho

IMAM AS KI AZMAT QANEEZ KI ZUBANI
Ap ki aik qaneez say aap kay Baray main sawal kiya gaya,us nay kaha
aap kay Ahwal mukhtasir karon ya Tafseel kay sath,
kaha gaya mukhtasir bayan karo,
us nay kaha
Din main Her giz main moala kay li,ay Ghiza na la,ti thi aur na Rat ko
har giz un kay li,ay Bestar na Bechati thi...

Imam e ali Sajjad a.s ka Khairat Bantna"
Hazrat ka tareeqa Qar yeh tha kay app Rat ki tareeki main appnay pusht
par chamrray ki Bori uthtay jis main Denar-o-Dharam thay,aur bhi khoraq
aur lakriyan uthatay aur Fuqrra kay Gharon tak lay jatay
Ghar ka Darwaza khat,khatatay aur jo koi Darwazay par Aata usay de,detay
jab kay appnay chahray ko chuppai Rakhtay ta,kay koi pehchan na sakay
jab aap ki wafat hoi to Fuqrra nay dekha kay woh na waqif shakhas ab
Darwazay nahian khat khatta ta aur ab woh humari madad karnay nahain aa ta
pher un ko ma,loom huwa kay woh to Ali Bin Al,Hussain Thay
jab aap ki badan mubarak ko ghussal denay kay li,ay Ghussal walay
takhtay par Rakha gaya to ap ki pusht par us chamrray ki bori kay aesay asraat dekhay gae jo auont kay zano kay nishanat ki tarah hain...

NA,WAFIL NUQSAN KO PURA KARTAY HAIN

Aik din namaz ki halat main aap kay kandhay mubarak say Riddaneechay
kir gai aur namaz kay Aakhir tak us,say sahi na kiya
jab baaz As,haab nay aap say Ridda ki taraf tawajah na karnay ki wajaha
poochi to aap nay farmaya" Afsos hai tujah par kiya tujhay ma,loom hai
main kis kay huzoor main khara tha
kisi banday say siraf namaz ka woh hissa Qabool hota hai jis main huzoor
Qalab ho us nay araz kiya:is tarah hum to halak ho gae
Hazrat nay farmaya:
her giz aesa nahain hai bal,kay khuda un kay nuqsan ko nawafil kay sath
pura kar deta hai......

IMAM AS KI AIK GADA GIR SAY MULAQAT
aik din aap ghar say bahir nikalay,aap kay kandhon par pasham ki aik
Ridda thi jo Reshami kaprray say bani hoi thi
Rastay main chaltay hoi aik gada gir nay aap ki ridda ko pakr liya
Hazrat nay baghair kuch kahay us ridda ko chor diya....

Thursday, December 8, 2011

Janab Syedah ki shan main Imam Baqir A.S ke Hadees urdu roman sms!

Mazkoorah kitab main aaya hai ke Sahal Bin Ahmed Dee'nori kehte hain, Hazrat Imam Ja,afar Sadiq farmate hain.

Jabir ne Imam Baqir A.S ki khidmat main arz kya, Ae Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke baite! Aap par Qurbaan jaon apni Jadah-e-Majadah Hazrat Fatima Zehara A.S ki fazeelat main aisi Hadees irshad farmain ke main jab bhi usay shiyon ke samne naqal karon to woh khush hal-o-masroor hon, Hazrat Imam Muhammad Baqir A.S ne farmaya, mere padar buzurgawar ne apne jad-e-iamjad aur unhon ne Rasool-e-Khuda se hadees naqal ki hai ke aap ne farmaya,

Jab roz-e-qayamat hoga to Rasoolon aur Peghambaron ke liye noor ke member lagaye jayen ge us din mera member sab se ouncha hoga, is waqat Allah Ta,ala farmaye ga Ae Muhammad S.A.W.W! khutbah parhain, main aisa khutbah parhon ga ke tamam Rasoolon aur Peghambaron ne waisa khutbah kabhi nahin suna hoga, is ke baad tamam anbiya ke jaanasheenon ke liye noor ke member lagaye jayen ge tamam oasiya ke membaron ke darmiyan mere wasi Ali Bin Abi Talib A.S ka member hoga jo tamam oasiya ke minmbaron se buland hoga, is waqat Hukam Parwardigar hoga, ya Ali A.S! khutbah parhain.

Hazrat Ali A.S aisa khutbah irshad farmain ge ke aosiya main se kisi ne bhi wesa khutbah nahin suna hoga, is ke baad Peghambaron ki aulaad ke liye noor ke member lagaye jayen ge mere do baiton, do nawason aur meri zindagi ki tamanaon ke do phoolon ke liye noor ka member naseeb kiya jaye ga, phir un se kaha jaye ga ke khutbah parhain woh aesa khutbah irshad farmain ge ke Peghambaron ke aulaad main se kisi ne wesa khutbah nahin suna hoga,

Phir munaadi ya'ni Hazrat Jibreel A.S faryaad buland kare ga Hazrat Muhammad S.A.W.W ki lakht-e-jigar kahan hai, Khadija A.S Binte Khaweeld kahan hai? Mariyam Bin Imran kahan hai? Aasiyah Binte mazaham kahan hai? Yahiya Bin zikria A.S ke walidah grami Ume Qalsoom kahan hain?

Tamam ke tamam khare ho jayen ge, is waqat Allah Ta,ala farmaye ga: Ay Ahelay Mehshar aaj karamat aur Izzat-o-buzuragi kis ke liye hai?

Hazrat Muhammad saww Hazrat Ali as Imam Hassan as Imam Hussain as aur Hazrat Zehara as sub kay sub Araz karain gay tamam ki tamam izat-o-Buzragi khuda wand wahda'hoo la,shareek kay li,ay hain

Allah Ta,lla ka irshad hoga

Ay Ahelay mehshar be,shak main nay izat-o-azmat Muhammad saw w Ali Hassan Hussain aur Fatima as ko atta kar di hai Ay Ahelay mehshar Appnay sir jhuka lo aur Aankhain band kar lo ta,kay Fatima Behshat ki taraf ja sakain,

Usi waqat Hazrat Jibreel A.S behshati aoonton main se aik oont le kar aaye ga, jis ki donon tarfain makhmal ke reshami kapre se aarasta hon gi is ke mahar marwareed ki hogi aur is ka sazo saaman marjaan ka hoga usay malikah-e-konain ke samne dozano bithaya jaye ga, aap is par sawar hongi, phir Allah Ta,ala aik lakh farishte aur nazil kare ga ta ke woh Fatima zehara A.S ko apne paroo par sawar karke beshat ki taraf le jayen, jab woh behshat ke darwaze par pohanch jayen ge to Fatima A.S apne peeche mur kar dekhain gi,

Allah Ta,ala farmaye ga, Ae mere Habib S.A.W.W ki baiti peechye mur kar kyon dekh rahi ho, halanke main ne Hukam diya ke behshat main dakhil ho jao? Hazrat rehrah A.S arz karain gi,

Ae mere Parwardigar! Main pasand karti hon ke aise din main meri qadar-o-manzilat pehchani jaye,

Khuda wand muta,ala farmaye ga,

Ae mere Habib ki baiti! Paltain aur dekhain ke jo koi aap S.A.W.W ya aap S.A.W.W ki aulaad main se kisi aik ki mohabbat dil main rakhta hai, usay haath se pakar kar behshat main dakhil karain,

Hazrat Imam Baqir A.S farmate hain,

Khuda ki qasam Ae Jabir is roz Hazrat Fatima Zehrah A.S apne mohabeen ko is tarha se nikalain gi jis tarha se parindah ache danoo ko kharab danoo se judda karta hai (ya,ani apne shiyon ko aehlay mehshar main judda kare gi aur unhain nijat de gi)

Jab bibi do aalam apne shiyon ke humrah behshat ke darwaze par pohanchain gi to Khuda Ta,ala Fatima Zehrah A.S ke shiyon ke dil main dale ga ke woh peechye mur kar dekhain jab woh peechye mur kar dekhain ge to Allah Ta,ala farmaye ga, Ae mere doston! Kyon peechye mur kar dekh rahe ho, halanke main ne apne Habib ki baiti Fatima Zehrah A.S ki shifa,at aap ke haq main qabool karli hai,

Woh kahain ge Parwardigar! Hum pasand karte hain ke aise roz main humari qadar-o-manzilat ki pehchan karwaye jaye, Allah Ta,ala farmaye ga,

Ae mere doston palat jao aur dekho ke jo koi bhi Fatima Zehrah A.S ki wajah se tum se mohabbat karta hai, jis kisi ne bhi mohab-e-Fatima A.S hone ki wajah se khana diya, jis kisi ne bhi mohab-e-Fatima A.S ke raste main tumhain sharbat pilaya jis kisi ne mohabbat-e-Fatima A.S rakhne ki wajah se gheebat karne se roka aur tumhari adam mojoodagi main tumhara difaa kiya aur jis kisi ne bhi mohabbat-Fatima A.S ki wajah se aap ko libaas diya, unhain haath se pakar kar behshat main le jayen Hazrat Imam Baqir A.S farmate hain, Khuda ki qasam! In logon main shaki kafir aur munafiq ke ilawah koi bhi baqi nahin rahe ga,

Jab kufaar jehanam ke tabqaat main thikana pa lain ge to faryaad buland karain ge, chuna,ncha Khuda wand muta,ala ka farmaan hai,

Ab humare lie koi shifa,at karne wala bhi nahin aur na koi dil pasand dost hai pas woh kahain ge,

Pas ae kash humain wapsi naseeb ho jati to hum sab bhi sahab-e-iman ho jate, Hazrat Imam Muhammad Baqir A.S farmate hain, unhain un ki khuwahish se roka jaye ga, aur agar yeh palta bhi diye jayen to wahi karain ge jis se rokay gaye hain sab jhoote hain.

Monday, December 5, 2011

Janab e Syedah S.A ki Khalqat in roman urdu!

Bibi Zehra S.a ki Khalqat!

Mazkoorah kitab main aaya hai ke Hazrat Imam Ja,afar Sadiq A.S apne walid grami aur jad buzurgawar se naqal karte hain ke Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,

Ae logo! Kya tum jante ho ke Fatima S.A ko kesay khalaq kya gaya hai?

Unhon ne kaha Khuda aur us ka Rasool S.A.W.W behtar jante hain,

Aap ne farmaya Fatima Zehrah S.A aisi Hoor hai jisay insaanon ki shakal-o-soorat main khalaq kya gaya hai, na ke woh in ki jeens se hai,

Phir farmaya woh Jibreel A.S ke paseenay aur par se paida hoi hai,

Unhon ne kaha Ae Rasool-e-Khuda is baat ko samajhna humare liye mushkil hai aik dafa aap ne farmaya hai ke woh Hoora Anseeah hai insaan nahin aur aik dafa farmaya hai ke Jibreel A.S ke paseenay aur par se khalaq hoi hai,

Rasool-e-Khuda ne farmaya main abhi is baat ki aap logon ke samne wazahat karta hon ke mere Parwardigar ne mere liye Jibreel A.S ke zariye behshat se aik saib bheja jisay is ne apne paseenay se lagaya howa tha pas Jibreel A.S ko paseena aaya aur saib ko bhi paseena utara dono ka paseena aapas main makhloot ho kar aik hogaya phir Jibreel A.S ne kaha AssalamuAlaik Ya Rasool Allah S.A.W.W maine kaha WaAlaikumAssalam Ya Jibreel A.S is ne kaha Khuda wnad Muta,ala ne yeh saib aap ke liye bahshat se bator hadiya bheja hai, maine usay liya chooma, aankhon par rakha aur seenay ke sath lagaya phir is ne kaha Ya Muhammad S.A.W.W tum isay kha lo, maine kaha kya hadiya Parwardigar ko kha lon? Is ne kaha han usay khane ka Hukam howa hai, jab maine usay khaya to is main se aik noor chamka ke main us se dar gaya Jibreel A.S ne kaha usay khain yeh Mansoor-e-Fatima S.A ka noor hai, maine kaha Ae Jibreel A.S Mansoor kon hai, us ne kaha yeh woh larki hai jo aap ke salab se wajood main aaye gi ke aasman par is ka naam Mansoorah aur zameen par Fatima S.A hai maine kaha Ae Jibreel A.S is ka naam aasman par mansoorah aur zameen par Fatima S.A kyon hai, us ne kaha, zameen par is liye Fatima S.A naam diya gaya hai kyon ke is ke sheeya aatish jahanam se nijaat payen ge aur is ke dushman is ki mehr-o-mohabbat se be berah honge, aur Allah ke is farman, aur is din sahiban-e-emaan khushi manaye ge woh Allah ki nusrat-o-imdad ke sahare ka matlab bhi yehi hai ke Allah Ta,ala Zehra S.A ke waseelay se un ki nusrat-o-madad kare ga.

Friday, December 2, 2011

Panjtan e pak ki Khalqat kasay hoi Hazrat Abbas ki Rawayat roman urdu!

Panjatan ki Khalqat kasay hoi!

Aik Imami Danishwar ki qadeemi kitab main mazkoor hai ke Ibne-Abbas kehte hain,

Ashraaf Arab man se aik shakhas Rasool-e-Khuda S.A.W.W ki khidmat man sharfiyaab howa, us ne kaha, Ae Rasool-e-Khuda S.A.W.W aap kis wajah se hum se afzal-o-bartar hain, dar halanke hum aur aap aik hi pani se paida howe hain.

Peghambar-e-Khuda ne farmaya,

Ae Arab bradar jab Allah Ta,ala ne humain paida karne ka iradah kiya to aik guftagoo ki, jis se aik noor paida howa, phir aik aur baat ki, jo rooh ban gaye pas mujhe, Ali A.S Fatima A.S aur Hassan A.S-o-Hussain A.S ko is noor se khalaq farmaya, phir mere noor se Arsh-e-ilahi paida kiya pas main arsh se afzal-o-bartar hon, Ali A.S ke noor se aasmaanon ko paida kiya, pas Ali A.S aasmaanon se afzal-o-bartar hain, noor-e-Hassan A.S se chand ko khalq kiya, pas Hassan chand se afzal hain aur noor-e-Hussain A.S se sooraj ko wajood bakhsha, pas Hussain A.S sooraj se afzal-o-bartar hain, phir Allah Ta,ala ne zameen par aisi tareeki muslat kardi jise farishte bardashat na kar sake, pas unhon ne is baat ka Allah Ta,ala ki bargah main shikwah kiya, Allah Ta,ala ne Jibreel A.S se kaha Noor-e-Fatima A.S ki thori si miqdar le kar is ki shamaa banao aur usay goshawarah arsh mian latka do, Hazrat Jibreel A.S ne Hukam-e-Parwardigar ko anjam diya us waqat sathon aasman aur zameen roshan ho gaye aur farishton ne tasbeeh-o-taqdees-e-Ilahi ko baja laya, pas Khuda wand Muta,ala ne farmaya,

Mujhe merei Izzat, Jalalat, Sakhawat, Buzurgawari aur Rifa,at-o-Manzilat ki qasam! Main roz-e-qayamat tak aap ki tamam tasbeeh-o-taqdees ka sawab Fatima, un ke shohar, un ke baiton aur un ke chahane walon ko don ga pas isi wajah se in ka naam naami Zohara rakha gaya.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
32 to 33)



Rasool-e-Khuda ke nazdeek mehboob tar hone ka da-awa.

Mazkoora kitab main aaya hai ke 8 aathwain peshwa Muala Raoof e Hazrat e Imam Raza A.S apne ajdad athaat A.S se naqal karte hain ke Ameer-Ul-Momeneen Ali A.S ne farmaya.

Aik din Hazrat Fatima Zohara A.S ne mujhe farmaya,

Main Rasool-e-Khuda ke nazdeek aap se mehboob tar hon, maine kaha nahin main mehboob tar hon. Imam Hassan A.S ne farmaya nahin balke main mehboob tar hon, Imam Hussain A.S ne farmaya nahin main mehboob tar hon, jab yeh Khuda ke afzal tareen bande Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke nazdeek mehboob tar hone ka dawa kar rahe thay ke isi doran Rasool-e-Khuda S.A.W.W un ki Noorani Mehfil main tashreef laye aur poocha, Ae mere beti kis bare main guftagoo ho rahi thi, hum ne sara waqiya Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke samne bayan kiya waqiya sunane ke baad aap ne apni dakhtar grami ke baghal kiya aur bhoosa diya, Ali A.S ko apni aaghosh main liya aur dono aankkhon ke darmiyan chooma, phir Imam Hassan A.S ko apni dain raan aur Hazrat Imam Hussain A.S ko apni bain taang par bithaya aur unhain bhoose diye, is ke baad farmaya,

Aap duniya-o-aakhirat main mere aziz hain jo aap ko dost rakhta hai us ne Khuda ko dost rakha jo koi aap ke sath dushmani ke liye utha woh Khuda ke saath dushmani ke liye khara howa, aap mujh se hain aur main aap se hon, mujhe us Khuda ki qasam jis ke qabza-e-qudrat main meri jaan hai duniya main aap se koi bandah farmaan bardar nahin magar yeh ke Khuda wand muta-ala duniya-o-aakhirat main us ka pashetibaan hai.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
18 to 19)