HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, December 8, 2011

Janab Syedah ki shan main Imam Baqir A.S ke Hadees urdu roman sms!

Mazkoorah kitab main aaya hai ke Sahal Bin Ahmed Dee'nori kehte hain, Hazrat Imam Ja,afar Sadiq farmate hain.

Jabir ne Imam Baqir A.S ki khidmat main arz kya, Ae Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke baite! Aap par Qurbaan jaon apni Jadah-e-Majadah Hazrat Fatima Zehara A.S ki fazeelat main aisi Hadees irshad farmain ke main jab bhi usay shiyon ke samne naqal karon to woh khush hal-o-masroor hon, Hazrat Imam Muhammad Baqir A.S ne farmaya, mere padar buzurgawar ne apne jad-e-iamjad aur unhon ne Rasool-e-Khuda se hadees naqal ki hai ke aap ne farmaya,

Jab roz-e-qayamat hoga to Rasoolon aur Peghambaron ke liye noor ke member lagaye jayen ge us din mera member sab se ouncha hoga, is waqat Allah Ta,ala farmaye ga Ae Muhammad S.A.W.W! khutbah parhain, main aisa khutbah parhon ga ke tamam Rasoolon aur Peghambaron ne waisa khutbah kabhi nahin suna hoga, is ke baad tamam anbiya ke jaanasheenon ke liye noor ke member lagaye jayen ge tamam oasiya ke membaron ke darmiyan mere wasi Ali Bin Abi Talib A.S ka member hoga jo tamam oasiya ke minmbaron se buland hoga, is waqat Hukam Parwardigar hoga, ya Ali A.S! khutbah parhain.

Hazrat Ali A.S aisa khutbah irshad farmain ge ke aosiya main se kisi ne bhi wesa khutbah nahin suna hoga, is ke baad Peghambaron ki aulaad ke liye noor ke member lagaye jayen ge mere do baiton, do nawason aur meri zindagi ki tamanaon ke do phoolon ke liye noor ka member naseeb kiya jaye ga, phir un se kaha jaye ga ke khutbah parhain woh aesa khutbah irshad farmain ge ke Peghambaron ke aulaad main se kisi ne wesa khutbah nahin suna hoga,

Phir munaadi ya'ni Hazrat Jibreel A.S faryaad buland kare ga Hazrat Muhammad S.A.W.W ki lakht-e-jigar kahan hai, Khadija A.S Binte Khaweeld kahan hai? Mariyam Bin Imran kahan hai? Aasiyah Binte mazaham kahan hai? Yahiya Bin zikria A.S ke walidah grami Ume Qalsoom kahan hain?

Tamam ke tamam khare ho jayen ge, is waqat Allah Ta,ala farmaye ga: Ay Ahelay Mehshar aaj karamat aur Izzat-o-buzuragi kis ke liye hai?

Hazrat Muhammad saww Hazrat Ali as Imam Hassan as Imam Hussain as aur Hazrat Zehara as sub kay sub Araz karain gay tamam ki tamam izat-o-Buzragi khuda wand wahda'hoo la,shareek kay li,ay hain

Allah Ta,lla ka irshad hoga

Ay Ahelay mehshar be,shak main nay izat-o-azmat Muhammad saw w Ali Hassan Hussain aur Fatima as ko atta kar di hai Ay Ahelay mehshar Appnay sir jhuka lo aur Aankhain band kar lo ta,kay Fatima Behshat ki taraf ja sakain,

Usi waqat Hazrat Jibreel A.S behshati aoonton main se aik oont le kar aaye ga, jis ki donon tarfain makhmal ke reshami kapre se aarasta hon gi is ke mahar marwareed ki hogi aur is ka sazo saaman marjaan ka hoga usay malikah-e-konain ke samne dozano bithaya jaye ga, aap is par sawar hongi, phir Allah Ta,ala aik lakh farishte aur nazil kare ga ta ke woh Fatima zehara A.S ko apne paroo par sawar karke beshat ki taraf le jayen, jab woh behshat ke darwaze par pohanch jayen ge to Fatima A.S apne peeche mur kar dekhain gi,

Allah Ta,ala farmaye ga, Ae mere Habib S.A.W.W ki baiti peechye mur kar kyon dekh rahi ho, halanke main ne Hukam diya ke behshat main dakhil ho jao? Hazrat rehrah A.S arz karain gi,

Ae mere Parwardigar! Main pasand karti hon ke aise din main meri qadar-o-manzilat pehchani jaye,

Khuda wand muta,ala farmaye ga,

Ae mere Habib ki baiti! Paltain aur dekhain ke jo koi aap S.A.W.W ya aap S.A.W.W ki aulaad main se kisi aik ki mohabbat dil main rakhta hai, usay haath se pakar kar behshat main dakhil karain,

Hazrat Imam Baqir A.S farmate hain,

Khuda ki qasam Ae Jabir is roz Hazrat Fatima Zehrah A.S apne mohabeen ko is tarha se nikalain gi jis tarha se parindah ache danoo ko kharab danoo se judda karta hai (ya,ani apne shiyon ko aehlay mehshar main judda kare gi aur unhain nijat de gi)

Jab bibi do aalam apne shiyon ke humrah behshat ke darwaze par pohanchain gi to Khuda Ta,ala Fatima Zehrah A.S ke shiyon ke dil main dale ga ke woh peechye mur kar dekhain jab woh peechye mur kar dekhain ge to Allah Ta,ala farmaye ga, Ae mere doston! Kyon peechye mur kar dekh rahe ho, halanke main ne apne Habib ki baiti Fatima Zehrah A.S ki shifa,at aap ke haq main qabool karli hai,

Woh kahain ge Parwardigar! Hum pasand karte hain ke aise roz main humari qadar-o-manzilat ki pehchan karwaye jaye, Allah Ta,ala farmaye ga,

Ae mere doston palat jao aur dekho ke jo koi bhi Fatima Zehrah A.S ki wajah se tum se mohabbat karta hai, jis kisi ne bhi mohab-e-Fatima A.S hone ki wajah se khana diya, jis kisi ne bhi mohab-e-Fatima A.S ke raste main tumhain sharbat pilaya jis kisi ne mohabbat-e-Fatima A.S rakhne ki wajah se gheebat karne se roka aur tumhari adam mojoodagi main tumhara difaa kiya aur jis kisi ne bhi mohabbat-Fatima A.S ki wajah se aap ko libaas diya, unhain haath se pakar kar behshat main le jayen Hazrat Imam Baqir A.S farmate hain, Khuda ki qasam! In logon main shaki kafir aur munafiq ke ilawah koi bhi baqi nahin rahe ga,

Jab kufaar jehanam ke tabqaat main thikana pa lain ge to faryaad buland karain ge, chuna,ncha Khuda wand muta,ala ka farmaan hai,

Ab humare lie koi shifa,at karne wala bhi nahin aur na koi dil pasand dost hai pas woh kahain ge,

Pas ae kash humain wapsi naseeb ho jati to hum sab bhi sahab-e-iman ho jate, Hazrat Imam Muhammad Baqir A.S farmate hain, unhain un ki khuwahish se roka jaye ga, aur agar yeh palta bhi diye jayen to wahi karain ge jis se rokay gaye hain sab jhoote hain.

No comments:

Post a Comment