HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Monday, December 5, 2011

Janab e Syedah S.A ki Khalqat in roman urdu!

Bibi Zehra S.a ki Khalqat!

Mazkoorah kitab main aaya hai ke Hazrat Imam Ja,afar Sadiq A.S apne walid grami aur jad buzurgawar se naqal karte hain ke Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,

Ae logo! Kya tum jante ho ke Fatima S.A ko kesay khalaq kya gaya hai?

Unhon ne kaha Khuda aur us ka Rasool S.A.W.W behtar jante hain,

Aap ne farmaya Fatima Zehrah S.A aisi Hoor hai jisay insaanon ki shakal-o-soorat main khalaq kya gaya hai, na ke woh in ki jeens se hai,

Phir farmaya woh Jibreel A.S ke paseenay aur par se paida hoi hai,

Unhon ne kaha Ae Rasool-e-Khuda is baat ko samajhna humare liye mushkil hai aik dafa aap ne farmaya hai ke woh Hoora Anseeah hai insaan nahin aur aik dafa farmaya hai ke Jibreel A.S ke paseenay aur par se khalaq hoi hai,

Rasool-e-Khuda ne farmaya main abhi is baat ki aap logon ke samne wazahat karta hon ke mere Parwardigar ne mere liye Jibreel A.S ke zariye behshat se aik saib bheja jisay is ne apne paseenay se lagaya howa tha pas Jibreel A.S ko paseena aaya aur saib ko bhi paseena utara dono ka paseena aapas main makhloot ho kar aik hogaya phir Jibreel A.S ne kaha AssalamuAlaik Ya Rasool Allah S.A.W.W maine kaha WaAlaikumAssalam Ya Jibreel A.S is ne kaha Khuda wnad Muta,ala ne yeh saib aap ke liye bahshat se bator hadiya bheja hai, maine usay liya chooma, aankhon par rakha aur seenay ke sath lagaya phir is ne kaha Ya Muhammad S.A.W.W tum isay kha lo, maine kaha kya hadiya Parwardigar ko kha lon? Is ne kaha han usay khane ka Hukam howa hai, jab maine usay khaya to is main se aik noor chamka ke main us se dar gaya Jibreel A.S ne kaha usay khain yeh Mansoor-e-Fatima S.A ka noor hai, maine kaha Ae Jibreel A.S Mansoor kon hai, us ne kaha yeh woh larki hai jo aap ke salab se wajood main aaye gi ke aasman par is ka naam Mansoorah aur zameen par Fatima S.A hai maine kaha Ae Jibreel A.S is ka naam aasman par mansoorah aur zameen par Fatima S.A kyon hai, us ne kaha, zameen par is liye Fatima S.A naam diya gaya hai kyon ke is ke sheeya aatish jahanam se nijaat payen ge aur is ke dushman is ki mehr-o-mohabbat se be berah honge, aur Allah ke is farman, aur is din sahiban-e-emaan khushi manaye ge woh Allah ki nusrat-o-imdad ke sahare ka matlab bhi yehi hai ke Allah Ta,ala Zehra S.A ke waseelay se un ki nusrat-o-madad kare ga.

No comments:

Post a Comment