Panjatan ki Khalqat kasay hoi!
Aik Imami Danishwar ki qadeemi kitab main mazkoor hai ke Ibne-Abbas kehte hain,
Ashraaf Arab man se aik shakhas Rasool-e-Khuda S.A.W.W ki khidmat man sharfiyaab howa, us ne kaha, Ae Rasool-e-Khuda S.A.W.W aap kis wajah se hum se afzal-o-bartar hain, dar halanke hum aur aap aik hi pani se paida howe hain.
Peghambar-e-Khuda ne farmaya,
Ae Arab bradar jab Allah Ta,ala ne humain paida karne ka iradah kiya to aik guftagoo ki, jis se aik noor paida howa, phir aik aur baat ki, jo rooh ban gaye pas mujhe, Ali A.S Fatima A.S aur Hassan A.S-o-Hussain A.S ko is noor se khalaq farmaya, phir mere noor se Arsh-e-ilahi paida kiya pas main arsh se afzal-o-bartar hon, Ali A.S ke noor se aasmaanon ko paida kiya, pas Ali A.S aasmaanon se afzal-o-bartar hain, noor-e-Hassan A.S se chand ko khalq kiya, pas Hassan chand se afzal hain aur noor-e-Hussain A.S se sooraj ko wajood bakhsha, pas Hussain A.S sooraj se afzal-o-bartar hain, phir Allah Ta,ala ne zameen par aisi tareeki muslat kardi jise farishte bardashat na kar sake, pas unhon ne is baat ka Allah Ta,ala ki bargah main shikwah kiya, Allah Ta,ala ne Jibreel A.S se kaha Noor-e-Fatima A.S ki thori si miqdar le kar is ki shamaa banao aur usay goshawarah arsh mian latka do, Hazrat Jibreel A.S ne Hukam-e-Parwardigar ko anjam diya us waqat sathon aasman aur zameen roshan ho gaye aur farishton ne tasbeeh-o-taqdees-e-Ilahi ko baja laya, pas Khuda wand Muta,ala ne farmaya,
Mujhe merei Izzat, Jalalat, Sakhawat, Buzurgawari aur Rifa,at-o-Manzilat ki qasam! Main roz-e-qayamat tak aap ki tamam tasbeeh-o-taqdees ka sawab Fatima, un ke shohar, un ke baiton aur un ke chahane walon ko don ga pas isi wajah se in ka naam naami Zohara rakha gaya.
(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
32 to 33)
Rasool-e-Khuda ke nazdeek mehboob tar hone ka da-awa.
Mazkoora kitab main aaya hai ke 8 aathwain peshwa Muala Raoof e Hazrat e Imam Raza A.S apne ajdad athaat A.S se naqal karte hain ke Ameer-Ul-Momeneen Ali A.S ne farmaya.
Aik din Hazrat Fatima Zohara A.S ne mujhe farmaya,
Main Rasool-e-Khuda ke nazdeek aap se mehboob tar hon, maine kaha nahin main mehboob tar hon. Imam Hassan A.S ne farmaya nahin balke main mehboob tar hon, Imam Hussain A.S ne farmaya nahin main mehboob tar hon, jab yeh Khuda ke afzal tareen bande Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke nazdeek mehboob tar hone ka dawa kar rahe thay ke isi doran Rasool-e-Khuda S.A.W.W un ki Noorani Mehfil main tashreef laye aur poocha, Ae mere beti kis bare main guftagoo ho rahi thi, hum ne sara waqiya Rasool-e-Khuda S.A.W.W ke samne bayan kiya waqiya sunane ke baad aap ne apni dakhtar grami ke baghal kiya aur bhoosa diya, Ali A.S ko apni aaghosh main liya aur dono aankkhon ke darmiyan chooma, phir Imam Hassan A.S ko apni dain raan aur Hazrat Imam Hussain A.S ko apni bain taang par bithaya aur unhain bhoose diye, is ke baad farmaya,
Aap duniya-o-aakhirat main mere aziz hain jo aap ko dost rakhta hai us ne Khuda ko dost rakha jo koi aap ke sath dushmani ke liye utha woh Khuda ke saath dushmani ke liye khara howa, aap mujh se hain aur main aap se hon, mujhe us Khuda ki qasam jis ke qabza-e-qudrat main meri jaan hai duniya main aap se koi bandah farmaan bardar nahin magar yeh ke Khuda wand muta-ala duniya-o-aakhirat main us ka pashetibaan hai.
(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
18 to 19)
No comments:
Post a Comment