HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Sunday, October 30, 2011

faraz ka hosala

waqat khush khush kaantnay ka mashwara detay hoi,
Ro para woh Aap mujah ko hosala detay hoi.

us say kab dekhi gai thi meray rukh ki mardani,
phair leta tha munnh mujah say dawa detay hoi.

be zubani baksh di khud Ehatsaabi nay mujhay,
hont sil jatay hain doniya ko gila detay hoi.

appni raah masdood kar dega yehi bharta hujoom,
yeh na socha her kisi ko rasta detay hoi.

woh humain jab tak nazar Aata raha taktay rahay,
geeli ankhon ukhray lafzon say dua detay hoi.

be amman tha Aap lekin mojiza hai yeh Faraz,
haala-e-shafqat tha us ko asra detay hoi.

Ghazal

Hum Ehil-e-ISHQ hain Muhabbat Zaat Rakhtay hain.
Aese mein din Guzarta hai Aese mein raat kartay hain.

Parinda Aakhri ye keh gaya khushk jheelon say.
Mujhay majboor hijrat pay meray halaat kartay hain.

Nikal aaye hain janib-e-sehira to darr kesa?
Chalo kuch din rotay hain chalo barsaat kartay hain.

Suna hai Chand utira hai sunehri jheel pay....
Kuch dair miltay hain chalo kuch baat kartay hain.

Saturday, October 29, 2011

MASTANA SOCH



Meri batoon ka koi gham na karna.
Men to deewana hoon deewanay ka kiya bharwasa

Meri Ankhon ki taraf dekh gour say
Zamanay ke ajeeb rang hain zamanay ka kya bharwasa

Almay tanhai men aesi angraiyan na lo kali zulfoon ke sath.
ye yaad rakh Nafsay ammara bhi hai humaray sath.

meray behak janay ka kya bharwsa
Gunehgar nahain khatta kar hoon gunah kya jata hai Khata ho jati hai.
men madhoosh hoon mujhay dhoondana zara sanbhal ke Awaron ke Astanay ka kya bharwasa

Darban bohat naz se likhi hai menay ye ghazal faqat teray wastay.
Insan hain Aye hoi hain do pal ke liye
Zindgi be wafa hai moat ke Aajanay ka kya bharwasa
(Darban GNC: +923453714140)

Thursday, October 27, 2011

HADEESAY NABVI SAWW



Hazrat Abdullah bin Abbas as say rawayat hai kay huzoor Akaram saww nay farmaya -A- logo?kiya mein tumhain un kay baray mein khabar na doon jo appnay nana nani kay aetbar say sub logon say behtar hai kiya mein tumhain un kay baray mein na bataon jo appnay chacha aur phoophi kay lihaz say sub logon say behtar hain kiya mein un kay baray mein na baton jo appnay mamoon aur khala kay aetbar say sub logon say behtar hain kiya mein tumhain un kay baray mein khbar na doon jo appnay maa baap kay lihaz say sub logon say behtar hain woh Hassan aur Hussain as hain un kay nana Allah kay Rasool un ki nani khdija bintay khuleed un ki walida Fatima as bintay Rasool allah. un kay walid Ali bin Abi Talib as un kay chacha jafar bin abi Talib un ki phoophi ummay Hani bintay Abi Talib un kay mamoon Qasim bin Rasool allah. un kay nana walid walida chacha phoophi mamoon sub jannat mein hongay aur woh donon Hasnain kareemain bhi jannat mein hongay is hadees ko imam Tabrani nay rawayat kiya hai
(Reffrence Book of Tahir ul Qadri manaqab e Hasnain A.S)

HAZRAT ALI AS ka farman hai!!



INSAN KAY SATH FARSHTAY LATAIF HOTAY HAIN.
Tu appni dawa khud hai magar tujhay nazar nahain Aata teri bemary teri andar hai magar tujhay khabar nahain. tu khayal karta hai tera bandan zara sa hai halaan kay teray andar ek bara jahan chuppa huwa hai is jisam mein 7 farshtay lataif hotay hain yehai waseela ilm-o-aqal aur baqyabi anwaray moala hain khali goshat aur dil haiwanat mein bhi hota hai un kay naam yeh hain.
1. Qalab yeh dil kay uppar hota hai
2. Sirry yeh Qalab kay barbar mein
3. Akhfa yeh seenay kay barbar mein
4. khafi akhfa kay barbar mein
5. Rouh yeh seenay kay dain janib
6. Anna yeh Dimagh mein
7. Nafas maqamay naaf par

Farman e Imam Jaffar Sadiq A.S



IBLEES KI DOLAT
Iblees kay pas Gussa aur aurat say
zayada taqatwar koi lashkar nahain
(IMAM JAFAR SADIQ AS.14 SITARAY PAGE 448)

yahoodi aur musalman mein kya faraq hai

hazrat imam jafar sadiq as nay farmaya hai
6 afrad ko salam na kya jaye
1. yahoodi
2. nasrani
3. jo shashks baitulkhala mein ho
4. jo shashks sharab kay dastakhuwan pay ho
5. jo shashks shareef auraton pay bhutaan darazi karay
6. un logon par jo aik dusray ko maa ki galiyan day kar khush hotay hain
Ref:Hidayat-ul-Shia:p#377
(FARMAN IMAM JAFAR SADIQ AS)



Sarkar Imam Jaffar Sadiq a.s Sajday men rotay hoiy Farmatay thay:

"Khudaya"! Un Cheehron par raham kar jo "ZAREEH-E-IMAM HUSSAIN A.S" se mass huiy hain, Aur un Aankhoon par Raham kar jin se "Gham-e-Hussain a.s" ki wajah se Ansoo behtay hain
Reference: al-khasais-eHussain Jild#2, page no: 41

 

IZATAY NAFAS



Izatay nafas aur anna ke faraq ko pehchano
izatay nafas ka talluq eiman say hai
aur anna ka talluq shetan say hai
(HAZRAT ALI AS)

DUA-E-MURTAZA AS

Meray Allah meri izat kay liye yeh kafi hai
kay mein tera banada hoon aur meray fakhar
kay liye yeh kafi hai kay tu mera parwardigar
hai tu wesa hi hai jesa mein chahata hoon
bas mujhko wesa bana day jesa too chahata hai
Aameen ya rab-ul-almeen
(HAZRAT ALI AS)

PAKEEZA TALB

Main jannat kay shoq mein ibadat nahain karta
kay yeh ibadat nahain tijarat hai
mein Dozakh kay khoaf say ibadat nahain karta
kay yeh ibadat nahain Ghulami hai
mein ibadat sirf is liye karta hoon kay
mera khuda ibadat kay laiq hai
(HAZRAT ALI AS)

Tuesday, October 25, 2011

DONIYA SAY BE PARWAHI SMS!!



HAZRAT ALI A.S Farmatay hai. Ahelay doniya un sawaron kay manind hai jo khud so rahay hain aur un ka safar jari hai
(NEHJUL BALAGAH AQWAL *64)

HAQ AUR HUSSAIN AS KA RESHATA!!



Haq nibhana meray Hussain as ka hai
Har zamana meray hussain as ka hai

Jin pay khaliq Dourd prahta hai
Woh ghrana meray Hussain as ka hai

Jis ki khatir ye kainat bani
Bas woh nana meray Hussain as ka hai

Meray ghar mein chragh jaltay hain
Aana jana meray Hussain as ka hai

Jis ko Qaba ye log kehtay hain
Ghar purana meray Hussain as ka hai

Rat say din jo ye niklta hai
Muskurana meray Hussain as ka hai

Aaj jo kuch Zameen say ugta hai
Dana dana meray Hussain as ka hai


ISLAM KI SAR BULANDI AUR BAKA HUSSAIN A.S SE HAI!!



Mat pooch hum faqeeron se kya kya bacha liya
Sub kuch loota ke appna aqeeda bacha liya

Aashoor ko to Hussain as ke kheemay to jal gae
Lekin meray Hussain as nay kaba bacha liya

QURRAN prah ke nok-e-sina par Hussain as nay
QURRAN Aur ahelay bait ka reshata bacha liya

Hajj ko badal kay ummaray se moala Hussain as nay
Kabay ke sath kabay ka parda bacha liya

Nisbat usay Ali as say hai REHAN AZMI
Jis nay ghmay Hussain as ka wirsa bacha liya


Monday, October 24, 2011

NAYAB JAHAN



Meray chaman ka har gul gulay nayab hai
Dhoondo gay zamana na mileay ga la jawab hai

Qatray ko darya aur darya ko Qatra bana diya
meray malik tera kya khoob intkhab hai

shajray Muhammad (saww) ki kya khoob kalliyaan hain
kaheen Fatima Hassan Hussain as kaheen Abu Turab hai

khuwabay zulekhan to yaheen pura hota hai
dekho Zainab as ka darbar men kya khitab hai

wesay to bagay Nabouwat ki har Qalli jamay shadat pa chukki
baad us ke bhi socho kitna bara inqalab hai

banni israil ko dekho Akhir ko uthaya gaya Darban
lekin banni Hashim ka Aj bhi chamkta mehtaab hai
(Darban: GNC: +923453714140)

Sunday, October 23, 2011

CHAHAT KI INTAHA



Chahon tujhay to chahat ki intaha kar don
Dekhon tujhay to dekhawat ki intaha kar don

A-dilay sukhan diday tarap se parda na utha
Doniya men istarah mera tamasha na bana
Men jo chahon to nidamat ki intaha kar don

Ajiz hon jahan bhar ka Ajzi hai paisha mera
Tujhay kya khbar ke zindgi ka Qissa mera
Jo ronay pay Aon to Qayamat ki intaha kar don

Shabay hijjar kat,ti hai bari shano shuwqat se
Ibtada teray ishq se intaha teri muhabbat se
Darban hoon lekin sakhawat ki intaha kar don
(Darban: GNC. +923453714140)

MUNQABAT MUALA ABBAS (AS)



Be tabay zindgi ko koi tab mil jaye
Payasa hai samandar ab Aab mil jaye

Mashqeeza to utha dali hathoon men
Manzil tak Aa pouhanchoon koi khitab mil jaye

Wesay to bara hunnar hai Aazmai ka mujhko
Lekin chup hoon goharay nayab mil jaye

Maqtal hairan hai raftar ki chaal per
Gardashay lahoo khaeta hai koi hissab mil jaye

Talwar ki zaroorat kya men nazar se bayabaan kar don
Darban meray muala ko jawab mil jaye
(Darban: GNC. +923453714140)

Gulistan e Pasbhan Jamaly Lab



Bari azad guftagu ke pasban ho tum
Shajar kari men to gulistan ho tum

Bhala ye zid kis bat ki hai tari tum par
Tum to roshan khayalay jan ho tum

Meri bebasi hai ke door hon tumhari nigah se
Warna Naseemay anjumanay aashqan ho tum

Mujhay rashak nahain qismatay naaz par
Meray liye to khuda-e-aelan ho tum

Nazar andaz kar do meri kohtaiyon ko
Such ma,noon meri fitrat ke sultan ho tum

Meray jam men thori si mithas bhar do A-saqi
Dekha hai menay baray mae,khan ho tum

Ye naza ka aalam nahain to aur kya hai
Darban ke A-shah aaj mae,zban ho tum
(Darban GNC:+923453714140)

Thursday, October 20, 2011

Middhat e Rasool e pak (SAWW)



Bari azad guftagu ke pasban ho tum
Shajar kari men to gulestan ho tum

Bhala ye zid kis bat ki hai tari tum par
Tum to roshan khayalay jan ho tum

Meri bebasi hai ke door hon tumhari nigah se
Warna Naseemay anjumanay aashqan ho tum

Mujhay rashak nahain qismatay naaz par
Meray liye to khuda-e-aelan ho tum

Nazar andaz kar do meri kohtaiyon ko
Such ma,noon meri fitrat ke sultan ho tum

Meray jam men thori si mithas bhar do A-saqi
Dekha hai menay baray mae,khan ho tum

Ye naza ka aalam nahain to aur kya hai
Darban ke A-shah aaj mae,zban ho tum

(Darban:GNC:+923453714140)

Gamay Hussain a.s ki Fazeelat (as)



Jab Imam Hussain as ki wiladat hoi to Rasool-e-pak (saww)rone lage bibi Fatima (as) nay rone ka sabab poucha to app saww ne farmaya. Fatima(as) tumhara ye beta karballa ke maedaan men bhooka payasa shaheed kiya jaega bibi Fatima (as) nay ro kar kaha. Baba Saww kiya us waqt hum se koi hoga aap ne farmaya nahain. Bibi Fatima (as) nay ro kar kaha baba phir mere betay par kon roaega. aap (saww) ne farmaya allah pak (jj) ne wada kiya hai ke woh aesi ummat banaega jo Qayamat tak Hussain(as) ke ghum men roaegi. bibi Fatima (as) nay kaha qayamat ke din khuda se ye kahoongi ke jab tak Hussain (as)ke gam men rone wale jannat mein nhn jat-e-bibi Fatima (as) bhi jannat men nhn jaaegi.

Roz-e-Qayamat Fatima A.S kese mahshoor hongi roman urdu sms!

Kitab Sahifat-ul-Raza A.S main mazkoor hai ke Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,
Rooz-e-Qayamat main mere beti Fatima A.S is halat main mahshoor hogi ke is ke baite Imam Hussain A.S ka khoon aalood libaas is ke hamrah hoga, is waqat arsh ke aik paye ko pakar kar kahe gi,
Parwardigar mere aur mere baite ke qatil ke darmiyan hokum-e-insaaf kar,
Rasool-e-Khuda (SAWW( ne farmaya,
Rab-e-ka,aba ki qasam Khuda Ta,ala meri baiti ke haq ka faisala kare ga.
(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no 32)




CHUPPA HUWA JHOUR



Shayed hurfay ada men koi raaz chuppa tha
Maatroon men sargam men koi saz chuppa tha

Aesa bhi kiya jo hoi humkalam tamnain tham gai
Dharktay dil therr gae anokha andaz chuppa tha

Hui aesay Aashna na banda raha na banda nawaz
Nigah ke silasal men tareeqat ka Aaghaz chuppa tha

Badnam zamanay ko koi khitab mil gaya
Her Qali thi rageen hr chaman men gulay naz chupa tha

Dida-o-dil ko fakat aik hi aas rahti hai Darban
Khul jae woh raz jis dil men dil baz chuppa tha
(Darban.GNC:03453714140)

INTAZAR KI TAAB



kehnay do abhi raat ki talkhiyan kesay sahi hain
sa,har se phelay jo thi pareshaniyan kesay sahi hain

ma,na ke hain lakhon mushtaq tumharay a-nasimay chaman
ya andazay sukhan teri be parwaiyan kesay sahi hain

wa,allah koi nahain mera faqat teray siwa jamalay roshan
faraib de doniya men ba,d gumaniyan kesay sahi hain

tujhay wasta ilam amal aqal shujat teri seerat ka
ik jalwa ho ayyaan tera ba,d nisibiyaan kesay sahi hain

meri aqalay naqas pay na ja a-rehamat ke wali
tu khud ko dekh mujhay na. be tabiyaan kesay sahi hain

mujhay fakhar hai is liye ke men Darban tera hoon
meri taqdeer ko sanwar. na murdiyaan kesay sahi hain
(DARBAN GNC:03453714140)

Tuesday, October 18, 2011

NADAN INSAN



Baray nadan ho yahan dil laganay chalay Aaye ho
Appni murwat ko be murwat bananay chalay Aaye ho

Azam aesa lala-o-zar ke farshatay bhi mukhalif
kesi talab ko lekay ilam paanay chalay Aaye ho

men mukhatib hon be khabar se zara hoshiyar ho
hoga hukam kya kiya tha wahan aur kya lenay chalay Aaye ho

Bad,tareen mizaj acha nahain sub waqif hain yahan
kya hoga wahan aur kya yahan karnay chalay Aaye ho

naz kar dilay Darban magar yaad rakh nasihat ko
kon hai tu aur kis ki nisbat nibhanay chalay Aaye ho
(Darban GNC: 03453714140)

MUHABBAT E RAHMATILL ALLMEEN SAWW



Jisnay pa liya rifatan muhabbat ke ahebab ko
sumajh liya usi nay qudrat hisab ko

zahir to chun liya hamnay muhabbat ke naam ko
kabhi socha hai batin ke intakhab ko

ye ilmi usloob hain hum aur tum kiya sumjhaingay
na janay kitnay milay hain raaz rohay nayab ko

lafzay kun se phele kiya tha zara ghoor kar
kiya kaha tha jibrail (as) nay us mahtab ko

Darban kiya shan hai meray mehboob ki
haqeeqat kar dali usnay kisi ke khuwab ko
(darban GNC: 03453714140)

SAFAR BARZAKH KA UMMAIDAY JAZZA.



choor kar mehdood ko la mehdood Aaoonga
wahan bhi tujhko na paya to kahan jaoonga

faani ko baqa men badlana ye hunner
ilam ko amal men rakhna ye hikmat
tunay manzil se na milaya to kahan jaoonga

be faiz logon ko faiziyab karna
ghafil ko Aaqil karna ye mashgala tera
mere dil men tera guzar na ho to kahan jaoonga

nidamat ke anson per taras khana
zindagi ko moat men badalna
magar Darban usne suaghan na banaya to kahan jaoonga
(Darban GNC 03453714140)

TAKHLEEQ-E-AADAM



Rehne diya hota kuch dair janat men aur aqal ko bedar kiya hota
na zameen hoti na gulshan hota na Habeel pe kisi ne war kiya hota

pehle aadi bna kar resham-o-attals ka phir hum ko gum raah kiya
nikal kar jannat se phir usi ki justajoo de di kuch to aetbar kiya hota

na zamen maeli hoti pak hone ke bad na gulshan sehra hota khizan ke bad
appni muhabbat ko nirwar karne se pehle humare mutaliq israr kiya hota

kisi ko masjid kisi ko mandar kisi ko aatish kisi ko soorj maekhana de diya
Darban bus nigha-e-magfi ko kia soojhi jahan banane se pehle shaetan ko na tayar kiya hota
(darban)

Monday, October 17, 2011

UMMAID E SHIFA



Khillenge shakh pe jab phool to aas pury hogi
rahaega na koi jab Qatil to aas pury hogi

tu to be,khbar hai a dil-e-nadaan manzil se
jahan nafs-e-mutmaina ka hoga har pal to aas pury hogi

aaj mera is andaz se likhna shayed tujhe sumajah na aaye
sajegi jab sr-e-shaam mehfil to aas pury hogi

kaheen faryad kaheen ka'asa liye phereng-e-payyamber
aaega tab mehboob awal to aas pury hogi

Darban rahy sada shad tammana aehl-e-eiman ki
aab-e-kosar bad samn-e-ho manzil to aas pury hogi
(darban)

HOUSSLA PAST



Houssala passat hota hai jin ka yahan
loot ta hai phir us ko zamana yahan

daagh bhi to be,daagh ho kar chalo tum
kis ko khbar ke sar-e-hain na aashana yahan

zajeer-e-Qafs pehno magar ihtiyat se
tamam roshnion ke peech-e-hai andheera yahan

koi mukabil ho to ghor-e-nazar rakho us ko
dushmano ke beech hai shaetan ka ghalba yahan

darad dil ka na ho ayan ye khayal rakhna
marham ke badl-e-millegi noke sina yahan

raqeebon ki mehfillen na gule daman ja baso
hayyat-e-do pal men nhn kisi ka aasara yahan

Darban nhn koi baam ke jahan betha jae
faraib-e-zindgi deta hr do karwan yahan
(darban)

KHUWAJA HASSAN BASARAY (RA)


Hazrat khuwaja hassan basar-e- ko logon ne kaha ke fallan shakhs aap ki geebat kar rha hai to aap ne us shakhs ko kuch tufhay behjay aur kehlwaya ke mujhe maloom hua ke aap appni nekiyan mere Aamal Namay men darj kar rahay hain is liye mene chah ke aap ko us ka kuch mawza ada karon mujhay muaaf bhi karna kion ke pura mawaza ada karne ki mujh men taqat nahain is liye yeh mukhtasar tufhay qabool kar lay.

Shanay BiBi Fatima S.A sms

Janat main sab se pehle jane wali hasti

Mazkoorah kitab main yeh ke Hazrat Abu Hurairah R.A kehta hain ke Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,

Bhisht main dakhil hone wali sab se pehle shakhsiyat Bibi Fatima Zohra s.a hi hai is umat main is ka maqam-o-martaba wahi hai jo Mariyam Bint-e-Imran ka Bani Israil main hai.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no 16)

Aap ki chokhat hai ke Qurran ka Qiblla Zehhra (as)
aayyatoon ne aa kar kiya aap ko sajda Zehhra (as)
chehrra Hyder as) ka ibadat hai zamane ke liye
aur Hyder as)ki ibadat hai aap ka chehra Zehhra (as)
aap ki chookhat pe khara hai jo faqeeron ki tarah
woh bhi hoga koi jannat ka farshata Zehhra (as)



Fatima S.A par Darood se Muhammad S.A.W.W ki Jaan-nashini

Mazkoorah kitab main aaya hai ke Hazrat Ali A.S farmate hain,

Hazrat Fatima A.S ne farmaya ke mere padar buzurgawar ne mujhe farmaya,

Ae Fatima S.A jo koi bhi aap par Darood bhejta hai Allah Ta-ala usay ma-af kar deta hai aur usay bhishit main mere saath jagah day ga.

(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no
16)

Sunday, October 16, 2011

HUBB-E-AEHLE BAIT



Main khuwar hon shayed ke jannat men na ja sakon
mumkin hai bad marag kisi kaam aa sakoon
eidhan bana de mujhko jhanum ka a khuda
men dushman-e-Ali as ke kalaej-e-jala sakoon
(GALIB)

AIK KHOOB SOORAT BAT



Ajzi men bari hikamat hai
aur sub se achi aajazi namaz hai
aur namaz ada karo ajiz ban jao
yane namaz ko Qaim rakho.

MUHABBAT KI JAZA



zameen aur aasman ki khalla men aik aesa ghar banaya jaega
(salo aleh waalehe)
muhammad (saww) aur aal-e-muhammad (saww) se muhabbat
karne walon ko bethaya jaega.
(darban)

SABAR



Hal-e-Dil sunnane se acha hai kisi ki sun liya karo
kuyon ke sunne wala mehkoom aur sunnane wala
hakim hota hai,
(darban)

MIDHAT-E-KARBALLA



A-karbuballa tujhe ilam na tha ye lahoo kis ka hai
woh Ali Akbar as bin te Hussain as hoo ba hoo kis ka hai
haye weeraniyaan theiy chamman kar gae
karbuballa wale ab amman kar gae.
(darban)

MANGTA



jab koi sawali tumhare pas chal ke aata hai us ko mayoos karne se phele zara sochna tum agar us ki jagah hotay to kya kartay,
(darban)

HOSH-O-HAWAS



insan ke hosh aur hawas ka saboot ye hai ke woh shaks khuda-e-pak aur us ke mehboob salo aleh wa,alehe waslam ko dourod shareef ke waseely yaad rakhta ho.
(Darban)

Saturday, October 15, 2011

DUA-E-IRFA



tu hi to woh ke jise mene halt-e-maraz men pukara to shifa de di bhook men pukara to giza de di payas men pukara to pani pila diya zillat men pukara to izat de di jhallat men pukara to noor-e-marfat se nawaz diya raah men bhattak gaya to rasta dikha diya ghurbat men puakara to ghani bana diya.

Thursday, October 13, 2011

Cool Natural Wallapapers Pictures

                 

                 

        

        

        

        

        

        

        

        

Tuesday, October 11, 2011

SAJDA-E-HUSSAIN (AS)



Jab aakhri sajd-e-men imam hussain (as) nay apna sir jhukaya aur (SUBHA'N RABI-UL-AALA)Prah kar ye kaha aye mere Khuda e pak (jj) agar tujhe Hussain as ki Qurbani apni bargah men Qabool hai to mere nana (saww)ki ummat bakash dena.
(aameen)
aye musalman soch is faraman pe aaj to us hussain as ke chahany wali ko Kaffer kahta hai Jo tere lye Aakhri waqat tak dua kar raha hai kiya bhol gian ho ke jawananay jannat ke sardar Hassan a.s aur Hussain a.s hai

Farman e Imam Hussain a.s in Roman urdu



1. Dosron say ilam hasil karo aur bhad kar dosron ko talem do.

2. Fursat Buhat jald hath say chali jati hai aur badi dair ke bad wapis lotti hai.

3. ILam aur burdbari naam hai ghusa khuwahishat-e- nafsani ko zabt karnay ka.

4. Ghor karo kiyon ke is say dil ko zindagi aur tazgi milti hai.

5. Ghusay ke waqt hi burdbar shakhs ki raai ka pata chalta hai.

6. Apnay naseeb say aankhen churalena mahromi wa badnaseebi hai.

7. Jo kaan nasihat aur mufid baton ko maan len wo shunwa (sunny walay) hain.

8. Momin zindagi say faida aur kafir mukhtasir lazat hasil karta hai.

Sindhi Baby Slideshow

sindhi same model picture

Sindhi Baby Model Picture Album

October 4, 2011