HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Tuesday, October 25, 2011

ISLAM KI SAR BULANDI AUR BAKA HUSSAIN A.S SE HAI!!



Mat pooch hum faqeeron se kya kya bacha liya
Sub kuch loota ke appna aqeeda bacha liya

Aashoor ko to Hussain as ke kheemay to jal gae
Lekin meray Hussain as nay kaba bacha liya

QURRAN prah ke nok-e-sina par Hussain as nay
QURRAN Aur ahelay bait ka reshata bacha liya

Hajj ko badal kay ummaray se moala Hussain as nay
Kabay ke sath kabay ka parda bacha liya

Nisbat usay Ali as say hai REHAN AZMI
Jis nay ghmay Hussain as ka wirsa bacha liya


No comments:

Post a Comment