HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, October 27, 2011

HADEESAY NABVI SAWW



Hazrat Abdullah bin Abbas as say rawayat hai kay huzoor Akaram saww nay farmaya -A- logo?kiya mein tumhain un kay baray mein khabar na doon jo appnay nana nani kay aetbar say sub logon say behtar hai kiya mein tumhain un kay baray mein na bataon jo appnay chacha aur phoophi kay lihaz say sub logon say behtar hain kiya mein un kay baray mein na baton jo appnay mamoon aur khala kay aetbar say sub logon say behtar hain kiya mein tumhain un kay baray mein khbar na doon jo appnay maa baap kay lihaz say sub logon say behtar hain woh Hassan aur Hussain as hain un kay nana Allah kay Rasool un ki nani khdija bintay khuleed un ki walida Fatima as bintay Rasool allah. un kay walid Ali bin Abi Talib as un kay chacha jafar bin abi Talib un ki phoophi ummay Hani bintay Abi Talib un kay mamoon Qasim bin Rasool allah. un kay nana walid walida chacha phoophi mamoon sub jannat mein hongay aur woh donon Hasnain kareemain bhi jannat mein hongay is hadees ko imam Tabrani nay rawayat kiya hai
(Reffrence Book of Tahir ul Qadri manaqab e Hasnain A.S)

No comments:

Post a Comment