HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Monday, October 24, 2011

NAYAB JAHAN



Meray chaman ka har gul gulay nayab hai
Dhoondo gay zamana na mileay ga la jawab hai

Qatray ko darya aur darya ko Qatra bana diya
meray malik tera kya khoob intkhab hai

shajray Muhammad (saww) ki kya khoob kalliyaan hain
kaheen Fatima Hassan Hussain as kaheen Abu Turab hai

khuwabay zulekhan to yaheen pura hota hai
dekho Zainab as ka darbar men kya khitab hai

wesay to bagay Nabouwat ki har Qalli jamay shadat pa chukki
baad us ke bhi socho kitna bara inqalab hai

banni israil ko dekho Akhir ko uthaya gaya Darban
lekin banni Hashim ka Aj bhi chamkta mehtaab hai
(Darban: GNC: +923453714140)

No comments:

Post a Comment