HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, October 27, 2011

IZATAY NAFAS



Izatay nafas aur anna ke faraq ko pehchano
izatay nafas ka talluq eiman say hai
aur anna ka talluq shetan say hai
(HAZRAT ALI AS)

DUA-E-MURTAZA AS

Meray Allah meri izat kay liye yeh kafi hai
kay mein tera banada hoon aur meray fakhar
kay liye yeh kafi hai kay tu mera parwardigar
hai tu wesa hi hai jesa mein chahata hoon
bas mujhko wesa bana day jesa too chahata hai
Aameen ya rab-ul-almeen
(HAZRAT ALI AS)

PAKEEZA TALB

Main jannat kay shoq mein ibadat nahain karta
kay yeh ibadat nahain tijarat hai
mein Dozakh kay khoaf say ibadat nahain karta
kay yeh ibadat nahain Ghulami hai
mein ibadat sirf is liye karta hoon kay
mera khuda ibadat kay laiq hai
(HAZRAT ALI AS)

No comments:

Post a Comment