Jab Imam Hussain as ki wiladat hoi to Rasool-e-pak (saww)rone lage bibi Fatima (as) nay rone ka sabab poucha to app saww ne farmaya. Fatima(as) tumhara ye beta karballa ke maedaan men bhooka payasa shaheed kiya jaega bibi Fatima (as) nay ro kar kaha. Baba Saww kiya us waqt hum se koi hoga aap ne farmaya nahain. Bibi Fatima (as) nay ro kar kaha baba phir mere betay par kon roaega. aap (saww) ne farmaya allah pak (jj) ne wada kiya hai ke woh aesi ummat banaega jo Qayamat tak Hussain(as) ke ghum men roaegi. bibi Fatima (as) nay kaha qayamat ke din khuda se ye kahoongi ke jab tak Hussain (as)ke gam men rone wale jannat mein nhn jat-e-bibi Fatima (as) bhi jannat men nhn jaaegi.
Roz-e-Qayamat Fatima A.S kese mahshoor hongi roman urdu sms!
Kitab Sahifat-ul-Raza A.S main mazkoor hai ke Rasool-e-Khuda S.A.W.W ne farmaya,
Rooz-e-Qayamat main mere beti Fatima A.S is halat main mahshoor hogi ke is ke baite Imam Hussain A.S ka khoon aalood libaas is ke hamrah hoga, is waqat arsh ke aik paye ko pakar kar kahe gi,
Parwardigar mere aur mere baite ke qatil ke darmiyan hokum-e-insaaf kar,
Rasool-e-Khuda (SAWW( ne farmaya,
Rab-e-ka,aba ki qasam Khuda Ta,ala meri baiti ke haq ka faisala kare ga.
(Munaqib-e-Ahlebait A.S Page no 32)
No comments:
Post a Comment