HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, November 17, 2011

Farman Rasool Akaram salo Aleh wa’alehi sms


Jis kisi ko bhi Allah Tala Meray Ahelay Bait main say Aaima Atthar as ki Muhabbat Naseeb Farmay To Doniya-o-Aakhrat ki bhalai is kay shmil hal ho jati hai kisi ko shak nahain hona chahiye kay woh jannat mein dakhil nahain hoga Be'shak meray Ahelay Bait as ki muhabbat kay Bees Asrat hain un mein say das Doniya kay sath hain aur das Aakhrat kay sath marboot hain woh Asrat jo Doniya kay sath marboot hain woh yeh hain
1:Doniya ki Taraf Raghbat na karna
2:Amal karnay Mein Be'had koshish karna
3:Deen Mein Taqwa Rakhna
4:Ibadat ki Taraf Ma'il Hona
5:Moat say Qabil Toubah karna
6:Raton ko Bedar Rehanay ki Taraf Shoaq Rakhna
7:Jo Logon kay Pas hai us say Na Umaid Hona
8:khuda kay Ihkam ka khayal Rakhna
9:Doniya ko Dushman Samjhana
10:Sakhawat karna
Aakhrat kay Asrat yeh Hain
1:us ka Nama-e-Aamal khola Nahain jay
2:Aamal ko Tolnay ka Tarazo Naseeb Nahain Hoga
3:Nama-e-Aamal us kay Daien Hath mein Diya jay ga
4:us kay liye jahnam say Nijat likh di jay gi
5:us ka chahra sufaid aur Noorani Hoga
6:jannat kay libas us ko pehnain jaingay
7:Appnay Reshtaydaron mein say 100 afrad ki shifat kar sakay ga
8:khuda us ki Taraf Nazar Rehmat Farmaiga
9:jannat ka Taj us kay sir par Rakha jayga
10:Bagair Hisab kay jannat mein Dakhil hoga
Pas khosh naseeb hain who log jo meri ahelay bait as. Ko dost rakhain gay.

Rasool e Akram SAWW nay Farmaya:

Meri aur meray Ahelay bait a.s ki Mohabbat saat mukamaat par Faida day gi,
Asy saat mukamaat ke junn me khoof wo wahshat ziyada hai muat ke waqat,
Qabar men, qabar say uthnay ke waqat, jab namain amal maly ga, hisab wo kitab ke waqat, jab meezan lagay ga aur pul serat say guzarnay ke waqat

No comments:

Post a Comment