HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, November 3, 2011

Khuda ki nimat Ahelay Bait hai?




sourah-e-Du,ha Ayat no 11
"Appany Rab ki Nimaton ko Yad karo."


Ahelay Bait as kay faza,il ko yad karna dar haqeeqat khuda ki azeem tareen nimaton ki yad karna hai is matlab ki ta,eed imam Baqir as ki yeh rawayat karti hai.

Aap nay farmaya: jang Nehrwan say wapsi kay ba,d logon nay Ameer ul Momeneen as say araz kiya kay ma,wiya Aap ko bura bhala kehta hai aur aap kay ashab r.a ko Qatal kar raha hai.
Aap a.s nay aik khutba kay ziman mein khuda ki hamad-o-sana paeghamber akaram as par dourod-o-salam aur khuda ki appnay Rasool par nimaton ki yad dihani kay ba,d farmaya:
agar Quran ki yeh ayat na hoti to jo mein keh raha hon na kehta:
khuda tala farmata hai:
us kay ba,d aap nay farmaya:
A-parwardigar"to is la,iq hai kay teri hamad-o-sana ki jaye kion kay teri nimatain un ginat hain aur teray is fazal-o-karam ki wajah say tujahay bhulaya nahain ja sakta,
A-logo mujhtak tumhari batain pouhanchi hain be,shak mein dekh raha hon kay meri moat nazdeek hai sha,id kay tum meri azmat say ja,hil ho aur mujhay abhi tak pehchana  nahian hai mein tumharay darmiyan wohi choray ja raha hon jo Rasool-e-khuda as chor gae jo kay khuda ki kitab aur meri itrat hai aur yeh itrat nijat ki  taraf hidayat karnay walay khatim al Anbiya a.s naikon kay sardar aur Rasool-e-Mustafa as ki itrat hai
(BISHARAT AL MUSTAFA SA NO13)

No comments:

Post a Comment