HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Tuesday, November 1, 2011

Haya e Aurat Aur Duniya

Sharafat sooz Tasveeron ki Urriyani nahian jati,
Adab ki Aar mein Targheeb-e-Romani nahain jati,

Khuda janay Naslay Nooh ka kya Anjam hona hai.
Watan Say Fahash Naghmon ki Farwani nahin jati,

Azab Aaye To Us Mein Senkron ki Jan jati hai,
Nahain Jati To Shetano ki Shetani Nahain Jati,

kaheen Basti ki Basti Bound Pani ko Tarsay ,
kaheen Barish Barsti hai To Tughiyani Nahain jati,

Jahan kay Zaray Zaray Say Numaya Hai jalal Us ka
Magar Hum Say khuda ki Zaat Pehchani Nahain jati,

Zamana is Qadar Qayal Hua Hai ,FAIZ, Jhooton ka
Jo Such kehtay Hain Un ki To Bat Bhi Mani Nahain jati,
(Faiz Ahmed Faiz)

No comments:

Post a Comment