HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Thursday, November 3, 2011

Khuda ki nimat Ahelay Bait hai?




sourah-e-Du,ha Ayat no 11
"Appany Rab ki Nimaton ko Yad karo."


Ahelay Bait as kay faza,il ko yad karna dar haqeeqat khuda ki azeem tareen nimaton ki yad karna hai is matlab ki ta,eed imam Baqir as ki yeh rawayat karti hai.

Aap nay farmaya: jang Nehrwan say wapsi kay ba,d logon nay Ameer ul Momeneen as say araz kiya kay ma,wiya Aap ko bura bhala kehta hai aur aap kay ashab r.a ko Qatal kar raha hai.
Aap a.s nay aik khutba kay ziman mein khuda ki hamad-o-sana paeghamber akaram as par dourod-o-salam aur khuda ki appnay Rasool par nimaton ki yad dihani kay ba,d farmaya:
agar Quran ki yeh ayat na hoti to jo mein keh raha hon na kehta:
khuda tala farmata hai:
us kay ba,d aap nay farmaya:
A-parwardigar"to is la,iq hai kay teri hamad-o-sana ki jaye kion kay teri nimatain un ginat hain aur teray is fazal-o-karam ki wajah say tujahay bhulaya nahain ja sakta,
A-logo mujhtak tumhari batain pouhanchi hain be,shak mein dekh raha hon kay meri moat nazdeek hai sha,id kay tum meri azmat say ja,hil ho aur mujhay abhi tak pehchana  nahian hai mein tumharay darmiyan wohi choray ja raha hon jo Rasool-e-khuda as chor gae jo kay khuda ki kitab aur meri itrat hai aur yeh itrat nijat ki  taraf hidayat karnay walay khatim al Anbiya a.s naikon kay sardar aur Rasool-e-Mustafa as ki itrat hai
(BISHARAT AL MUSTAFA SA NO13)

Zarra ka Imam Jaffar Sadiq A.s se Question?


Zarra:Imam Jaffar Sadiq as Say Araz karta Hai Kay Farzand Rasool(saww) Muarfat Ilahi Kay Ba,d konsa Amal Afzal Tareen Hai:
Hazrat Nay Farmaya :
Muarfat khuda kay Ba,d koi Amal Bhi Namaz kay Ham Palla Nahain
Awal Zikkar kay Ba,d koi Bhi Amal Zakkat kay Ham Palla Nahain:
In Amaal kay Ba,d koi Amal Bhi Rozay kay  Barabar Nahain Hai
Is kay Ba,d Sub Amalon Say Hajj Afzal Amal Hai Mazkoor Subhi Ammaal ki Ibtada Aur Intaha Humari Hi Muarfat Hai
(kitab Munaqib Ahelay Bait Amali Tousa 294)



Be,shak LA,ILA,ILA,ALLAH kay laye Shara,it Hain Mein Aur Meri Olad In Shara,it Mein Say Hain
(kitab Munaqib Ahelay Bait Shar,h Gharar Al
Hukam:2:415/Hadees :3479)

KALAMA LA,ILA,ILA,ALLAH Mera Mazboot Qilla Hai Pas Jo koi Bhi Meray Is Qillay Mein Dakhil Ho Gaya woh Meray Azab Say Mehfooz-o-Mamoon Ho Gaya.
(kitab Munaqib Ahelay Bait Hazrat Imam
Jaffar Sadiq as)

Wednesday, November 2, 2011

IMAM-E-MUBEEN KON HAI?

SOURAH-E-YASEEN AYAT NO 12:
Humnay har cheez ko Imam Mubeen mein jama kardiya hai.

Nazil hoi to do ashab Hazrat Abubakar aur Hazrat Ummar r.a araz karnay lagay ya Rasool allah imam mubeen say kya maqsood aur murad hai kya is say murad (Turait) hai. Aap nay farmaya nahain unhonay kaha phir hathmin is say murad Quran hoga Aap saww nay farmaya  nahain is asna mein Ameer ul Momeneen a.s wahan Aa gae Paeghamber Akaram (saww) nay in ki taraf ishara kiya aur farmaya yeh woh Imama mubeen hai. jis mein khuda nay har cheez ka ilam rakh diya hai be,shak haqeeqi tor par woh shakhs khush bakhat aur sadat mand hai jo moat say phelay aur ba,d mein Ali as ko dost rakhata ho aur haqeeqi ma,na mein gumrah aur bad,bakhat woh hai jo zindagi mein aur marnay kay ba,d Ali as ko dushman rakhta ho.
(MISSARAQ AL ANWAR 55: PAGE NO 220)

Muhabbat e Ahelay Bait (SAWW)

Pas logon kay Dilon ko is tarah Qarar day kay un ki tarf ma,il hon
(sorah-e-ibarhim ayat no37)
TAFSEER
(AL,QAFI JILD 1/S392:HADEES NO 1:)
Pas agar tum chahtay ho kay tumhari zindagi Anbiya a.s ki tarah ho
aur tumhari moat Shu'da jesi ho to Wilayat Ahelay Bait a.s ko qabool karo aur appnay Amal-o-Raftar zindagi mein un ki pairvi karo ta kay jo tumhain passand hai woh dekh sako
yeh aik aesi haqeeqat hai kay jis kay mutaliq Rasool Akram (saww) nay wazahat farmai hai.

Farmanay Rasool e Pak (SAWW)

Jo koi chahta hai kay anbiya as jesi zindagi guzaray aur shu,da jesi moat Aye aur jannat mein us ka thikana ho,  "jisay meharban khuda nay banaya hai" usay chahiye hazrat Ali as aur un kay osiya ki wilayat ko qabool kar lay aur un kay ba,d jo imam hain un ki iqtada kar lay woh sub meri itrat hain aur meri tayunat say un ko paida kiya gaya hai
A-parwardiga mera faham aur ilam un ko atta kar
phir irshad farmaya:
us shakhs kay liye halaqat ho  jo in ki mukhalifat karay A-khuda aesay logon ko meri shafat naseeb na farma

(Kitab Manaqib Ahelay Bait Al-Qafi 208 Hadees no 3)

Tuesday, November 1, 2011

Haya e Aurat Aur Duniya

Sharafat sooz Tasveeron ki Urriyani nahian jati,
Adab ki Aar mein Targheeb-e-Romani nahain jati,

Khuda janay Naslay Nooh ka kya Anjam hona hai.
Watan Say Fahash Naghmon ki Farwani nahin jati,

Azab Aaye To Us Mein Senkron ki Jan jati hai,
Nahain Jati To Shetano ki Shetani Nahain Jati,

kaheen Basti ki Basti Bound Pani ko Tarsay ,
kaheen Barish Barsti hai To Tughiyani Nahain jati,

Jahan kay Zaray Zaray Say Numaya Hai jalal Us ka
Magar Hum Say khuda ki Zaat Pehchani Nahain jati,

Zamana is Qadar Qayal Hua Hai ,FAIZ, Jhooton ka
Jo Such kehtay Hain Un ki To Bat Bhi Mani Nahain jati,
(Faiz Ahmed Faiz)