HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Sunday, October 30, 2011

faraz ka hosala

waqat khush khush kaantnay ka mashwara detay hoi,
Ro para woh Aap mujah ko hosala detay hoi.

us say kab dekhi gai thi meray rukh ki mardani,
phair leta tha munnh mujah say dawa detay hoi.

be zubani baksh di khud Ehatsaabi nay mujhay,
hont sil jatay hain doniya ko gila detay hoi.

appni raah masdood kar dega yehi bharta hujoom,
yeh na socha her kisi ko rasta detay hoi.

woh humain jab tak nazar Aata raha taktay rahay,
geeli ankhon ukhray lafzon say dua detay hoi.

be amman tha Aap lekin mojiza hai yeh Faraz,
haala-e-shafqat tha us ko asra detay hoi.

Ghazal

Hum Ehil-e-ISHQ hain Muhabbat Zaat Rakhtay hain.
Aese mein din Guzarta hai Aese mein raat kartay hain.

Parinda Aakhri ye keh gaya khushk jheelon say.
Mujhay majboor hijrat pay meray halaat kartay hain.

Nikal aaye hain janib-e-sehira to darr kesa?
Chalo kuch din rotay hain chalo barsaat kartay hain.

Suna hai Chand utira hai sunehri jheel pay....
Kuch dair miltay hain chalo kuch baat kartay hain.

Saturday, October 29, 2011

MASTANA SOCH



Meri batoon ka koi gham na karna.
Men to deewana hoon deewanay ka kiya bharwasa

Meri Ankhon ki taraf dekh gour say
Zamanay ke ajeeb rang hain zamanay ka kya bharwasa

Almay tanhai men aesi angraiyan na lo kali zulfoon ke sath.
ye yaad rakh Nafsay ammara bhi hai humaray sath.

meray behak janay ka kya bharwsa
Gunehgar nahain khatta kar hoon gunah kya jata hai Khata ho jati hai.
men madhoosh hoon mujhay dhoondana zara sanbhal ke Awaron ke Astanay ka kya bharwasa

Darban bohat naz se likhi hai menay ye ghazal faqat teray wastay.
Insan hain Aye hoi hain do pal ke liye
Zindgi be wafa hai moat ke Aajanay ka kya bharwasa
(Darban GNC: +923453714140)

Thursday, October 27, 2011

HADEESAY NABVI SAWW



Hazrat Abdullah bin Abbas as say rawayat hai kay huzoor Akaram saww nay farmaya -A- logo?kiya mein tumhain un kay baray mein khabar na doon jo appnay nana nani kay aetbar say sub logon say behtar hai kiya mein tumhain un kay baray mein na bataon jo appnay chacha aur phoophi kay lihaz say sub logon say behtar hain kiya mein un kay baray mein na baton jo appnay mamoon aur khala kay aetbar say sub logon say behtar hain kiya mein tumhain un kay baray mein khbar na doon jo appnay maa baap kay lihaz say sub logon say behtar hain woh Hassan aur Hussain as hain un kay nana Allah kay Rasool un ki nani khdija bintay khuleed un ki walida Fatima as bintay Rasool allah. un kay walid Ali bin Abi Talib as un kay chacha jafar bin abi Talib un ki phoophi ummay Hani bintay Abi Talib un kay mamoon Qasim bin Rasool allah. un kay nana walid walida chacha phoophi mamoon sub jannat mein hongay aur woh donon Hasnain kareemain bhi jannat mein hongay is hadees ko imam Tabrani nay rawayat kiya hai
(Reffrence Book of Tahir ul Qadri manaqab e Hasnain A.S)

HAZRAT ALI AS ka farman hai!!



INSAN KAY SATH FARSHTAY LATAIF HOTAY HAIN.
Tu appni dawa khud hai magar tujhay nazar nahain Aata teri bemary teri andar hai magar tujhay khabar nahain. tu khayal karta hai tera bandan zara sa hai halaan kay teray andar ek bara jahan chuppa huwa hai is jisam mein 7 farshtay lataif hotay hain yehai waseela ilm-o-aqal aur baqyabi anwaray moala hain khali goshat aur dil haiwanat mein bhi hota hai un kay naam yeh hain.
1. Qalab yeh dil kay uppar hota hai
2. Sirry yeh Qalab kay barbar mein
3. Akhfa yeh seenay kay barbar mein
4. khafi akhfa kay barbar mein
5. Rouh yeh seenay kay dain janib
6. Anna yeh Dimagh mein
7. Nafas maqamay naaf par