sms Honour of Panjtan e Pak a.s Majalis Darban Piotry natural wallpapers some thing more
Tuesday, November 15, 2011
Monday, November 14, 2011
man Kunto Maula Fahaza Ali Muala Eid-e-Ghadeer Mubarak ho Sms
Eid e ghadeer ishq ki manzil ka naam hai
Mehfil saji hai dhoop mein kiya ahtamam hai
Bheja Rab nay Taaj Nabi (SAWW) ke haath mein
Goya aaj dulha bana mera imam as hai
Taaj Poshi-e-Muala e Kainaat a.s bohat bohat Mubarak ho tamam Momeneen ko .
18 zil-hajj
Eid e Ghadeer Allah ke Rasool (SAWW) nay Farmaya:
Jis Jis ka mein Maula us us ka Ali a.s Maula
Maula aap tamam Shiyan-e-Maula a.s ko eid-e-Ghadeer eid-e-Wilayate Ali Ibni Abu Talib a.s ki Bohat bohat Mubarak ho.
Farman e Imam e Musa bin Jaffar Sadiq a.s
Jab do momin Aapas Mein Mulaqat kartay hain aur khuda ka zikkar kartay hain aur hum ahelay bait ka as kay fazail ka zikkar kartay hain to Iblees kay chahray par jitna Goshat hota hai gir jata hai yahan tak kay is ki rooh shidat darad say cheekhti hai Asman kay Farshtay aur jannat kay khazana dar usay sun letay hain aur us par lanat kartay hain aur koi maqrib farshta baqi nahain rehta magar yeh kay us par lanat karta hai.
(Al-kafi j2/s188hadees no17- Al-sajar-Al-anwar:j63/s258hadees 131 Manaqib Ahelay Bait)
Aik dosri rewayat jo tafseer Imam Hassan as main Paeghamber isalam say Naqal hoi hai
Aap farmatay hain:
A-Umatay Muhammad (saww)jab tum masaib-o- Aalam main Giraftar ho jao to Muhammad-o- Aalay Muhammad(saww) ko yaad karo ta,kay khuda un ki Barkat say un farshiton ki jo tum par mouqil hain shetanon kay muqablay mein madad farmain
(kitab Manaqib Ahelay Bait)
Har shetan kay Muqabilay main Aik Lakh Farshta janag kay liye Aamada ho jata hai jab kay woh Aag ki sawariyon par sawar hotay hain un kay Hathon mein Aag ki Talwarain Naizay,khanjar,Teer,Aur Dosra Aag ka Aslah hota hai, Farshatay us Aslah kay sath un ko Qatal kartay hain Yahan Tak kay Iblees ko Girftar kar kay Aslah say us par war kartay hain
(Kitab Munaqib Ahelay Bait)
Agar Chahtay ho kay Iblees kay Zakham Baqi Rahain Aur Hamaisha Ghamnak Rahay To Ata,at Khuda Aur Muhammad-o-
Aalay Muhammad as par Durood ko Hamaisha Baja latay Raho Agar Tumnay Aesa Na kiya To Iblees kay Aseer Ban jaogay aur us kay Lashkar Tum par Sawar Hojaingay
(Tafseer Mansoob Ba Imam Hassan Askarri as pag no392)
Furra,at Aur She,aanay Ali as
Jesa kay Imam Jafar Sadiq as Farmatay hain:
Furra'at She'aanay Ali as kay liye hai kisi ko bhi Furra'at kay pani say Danai-o-Hikkamat Hasil Nahain Hogi magar yeh kay woh Hum Ahelay Bait as kay sath Muhabbat-o-Mawadat karta ho"
Tuesday, November 8, 2011
Hajj ko umrah men Tabdil kiya Muala Husssain a.s nay!
"Main Hajj ke Moqaa pe Khana Kaaba Ko chhor kar ja raha hon kiyon ke man aesy logon ko dekh raha hon jo Haakim-e-sham ki Taraf se Apny Ahramon men Talwarin chhupai Mery Qatal ke liye jo dar jok Makkah aa Rahin hain".
"Wallah, Main Hussain a.s apny Qatal se nahin darta mager is liye ja raha hon ke Baitullah men Mery Qata se Khuda ke Ghar ki Hurmat Paimaal na ho".
(Imam Hussain a.s ka Makkah men Akhri Khutba)
Imam Hussain A.S ki Ziyarat ka sawab Hajj ke barabar kyon,
Mere aik sahab sakhan-o-qalam dost mujh se poochte hain, aksar rawayaat main kyon Imam Hussain A.S ki ziyarat ka ajar-0-sawab Hajj ke barabar qarar diya gaya hai? Maine jawab main kaha deenay Khuda ke dushmanoo aur amiya ne Hazrat Imam Hussain A.S ke Qalab naznain ko aziyat pohanchaye aur roz arfa se kuch din kabal aap ko makka se nikalne par mujboor kar diya isi wajah se Allah Ta,ala ne Aan Hazrat S.A.W.W ke dushmanoo ki naak Zameen par ragri aur haqiqat Hajj ko tabdeel karke aap ki ziyarat ka sawab Hajj ke sawab se kaye gunha ziyada kar diya, hum bhi Hazrat Imam Hussain A.S ke kalma haq ki sar bulandi aur roz ba roz batil ke sarangoni par Khuda wand muta,ala ke shukar guzar hain.
(Manaqib Ahelay Bait a.s page No: 73