Dua Malik e Ali ul aazeem se Imam Mehdi a.s ke lye urdu roman sms!
Ya Rab Hamain pak Imam a.s ki Khidmat naseeb ho,
Pehchhan len unhain wo Baseerat naseeb ho,
Duniya ke sath Deen ki Izza Naseeb ho,
Her Saal Karbala ki Ziyarat naseeb ho,
Yah Rab, Hamary lab pe Darood-0-Salam ho,
Punhcha de wuhan jahan bhi Hamara Imam ho,
(aameen)
Talib-e-Dua FGC
Matmay-e-Shabir a.s urdu roman sms!
Girya kiya Yaqob a.s nay Us ko bhi to toko,
Yousuf to abhi Zidah hain yon ghum nahin kartay.
Adam nay to dadi Hawa ke liye peeta hai seena,
Sumjhao unhain zindah ka matam nahin kartay,
hazrat Hamza to Shaheedon ke Sardar hen lekin kartay na Pak Mohammad SAWW to chalo hum nahi kartay,
Haq baat hai bas Bughz-e-Ali a.s ka hai yeh Chakar,
tum is liye Shabir ka matam nahin kartay,
Apna koi marta hai to rotay ho Tarrp Tarrp kar,
Per Sibtay Pyambar SAWW ka kabhi tum ghum nahin kartay,
Himat hai to Mehsher men Pyambar se yeh kehna,
Hum zinda-o-jawed ka matam nahin kartay,
Yeh Riwayat rahi hai Roz-e-Awal se Ke Qatil kabhi Maqtool ka matam nahin kartay
Ya Sar-e-Allha Hussain a.s
Yazeediyat se jo Izhar-e-Bezari nahin kartay,
wo Kalma go Shariat se Wafadari8 nahin kartay,
Batata hai tumhara Tanz karna matame-e-Shah par,
Kabhi Maqtool ke Qaatil Taraf'daari nahin kartay,
Shareef-ul-Nafs Insaan hen manaty Hen gham-e-Sarwar,
Yazeedi Nasal ke Insan Azadari nahin kartay,
Ghulami ki sanad ki aarzoo ne kar diya saabit,
Ghulam'on ke jo bachay hongy wo sardari nahin kartay,
Bahadr hain bahaty hen gham-e-Shabeer a.s men aansoo, kabhi saanpoon se dar kar girya-o-Aaah Zaari nahin kartay,
Salam ya Mazloom-e-Karbala...
Pak Imam Jaffar Sadiq A.S nay Farmaya urdu roman sms!
Imam e Jaffar Sadiq a.s ka Irshad e mubarak hai:
Hmaraa Shia Sirf wohi hai jo Shikam aur Sharamgah ki Hifazat ka Khayal Rakhta ho aur apnay Nafas ke Khilaf Shiddat se jihad karta ho aur apnay khaliq ki Raza ke Husool ke liye Amal Baja lata ho aur us e Sawab ki umeed Rakhta ho aur us ke azaab se Khouf-Zada Rahta ho,
jab kahin aesy Afraad nazar aaien to woh Hamaray Shia hain.
Reference book: Aosaaf-eShia Hadees,21,page-42
Urdu Writer:
Sheikh Sudooq.
Maola Imam SAJJAD A.S nay Farmaya urdu roman sms!
Muala pak imam Sajjad a.s nay Farmaya:
Mujhay jab bhi Aolad-e-Sayada a.s ke Kat'tay huway Saron ka Manzar yaad Aata hay,
meri Aankhoon se Be-Ikhtiar Aansoo Nikalna Shuroo ho jatay hain.
Ref: book Behaar-al-Anwaar Jild46,page-109
Salam Ya imam Mazloom e Karbala....
Salam ho tum pe Karbala ke Shahedo Urdu Roman sms!
Aye Ghareeb-ul-Watan Alvida Alvida,
Lasha-e-be-Kafan Alvida Alvida,
Samnay Jab bhi Pani ka jaam aaiy ga,
Lab pay Be-sakta tera naam aaiy ga,
Piyasay Shah-e-Zaman a.s Alvida Alvida,
Lay ke Aai Behan s.a yeh payam Aakhri,
Leejiye Uth ke Maola a.s Salam Aakhri,
Ja rahi ho watan Alvida Alvida
Ashkar-e-Deen-Haq per 72 Salam,
Zenab-e-Panjtan a.s Alvida Alvida,
CHELUM E IMAM HUSSAIN A.S ROMAN URDU SMS!
Chelum talak SHABEER (A.S.W)Tujhay na Mila Kafan,
Ta-Arbaeen(40) Dhoop Mein Jailta Raha Badan,
Qurbaan Tery Lasha-be-Sir ke ye Behan (s.a),
Kiss Tarha tujh ko Chhor jaon Sooye Watan,
Masooma (s.a) jo Mujhe se Pochay gi baba (asw) Kidher gaye,
Kesay kahon gi us se Shabeer A.S Chal basay.!
Salam Ya hussain a.s Labak Ya Hussin a.s.....
Faqeer Ghulam Qadir Channa
Meri Ummat urdu Roman sms!
Pak MUHAMMAD MUSTAFA (SAWW)ne Irshad Farmaya ke:
"Meri Ummat main mujhay in cheezon se zeyadah khauf hai.
> Haram Kamai.
> Poshidah Khuwahishat ka Poora karna.
> Riya Kaari.
> Sood,Aur
> Bila Zaroorat Qarz lena."
Ref: Book: Rooh-ul-Hayat. Page #470 Haq Sach Nabi e pak (SAWW)
Maqtal urdu roman sms!
Jab Umer Bin Saad nay apni Fouj main Aiylaan kiya:
kon hai jo Muala Hussain a.s ke badan per Ghorry Drraiy?
10 (ten) Admiyon ne is kaam ko apnay zima liya. un ke naam yeh hain.
(1) Shaaq bin Harba (is nay Muala Hussain a.s ki Qameez looti thi)
(2) Akhnas bin Marsad
(3) Hakeem bin Tufail Sabni
(4) Umer bin Sabeh Saidadi
(5) Rijja bin Munqaz
(6) Saalim bin Khazeema jaafi
(7) Wahiz bin Naa'am
(8) Saleh bin Wahb jaafi
(9) Haani bin Shabas Hazarmi
(10)Aseed bin malik
Ref: Maqtal lahoof page:104
Writer: Syed ibn-e-Taous(664 Hijjri)
Bublisher: islamic book center islamabad.
Allah aur Malaika ki Lanat ho in sab pe be shomar ho.
Salam Ya Hussain a.s Labak Ya Hussain a.s
NOHA KAWAN Urdu Roman sms!
Hmary Gham main "Noha" Parrhnay wala aesa hay jaisay ke woh "KARBALA" say "Sa "SFAR-E-SHAM" main hamaray sath tha.
Farman: imam MUHAMMAD BAQIR A.S
Pehli (1) Saffar:
Jab Bibiyan (saw) yazeed (L) ke darbar main aaien to sab nay apany chehray baalon se chhupa liye lekin bibi Sakeena S.A nay apnay Chehray pe haath rakhay huway thay.
to yazeed (L) nay kaha ke abhi to tu chhoti hai tu kyon parrda kar rahi hai?
to paak bibi s.a nay aik aazeem jumla kaha ke:
jesay Quran ki chhoti aur barri aayaton ki aazmat aik hai to isi tarah aal-e-muhammad saww ke chhotay hon ya barry aazmat man barabar hain
Labak ya husssain...........
Shi'as Muslim's Population in some Countries of the world!
Iraq 62.5%
Iran 96%
Azerbaijan 75%
Afghanistan 15%
Bahrain 61.3%
India 3%
Kuwait 30%
Lebanon 41%
Oman 2%
Pakistan 20%
Qatar 5%
Saud Arabia 3.3%
Syria 15.3%
Turkey 20%
United Arab Emiraes 16%
Yemen 46.9%
Farishton ka Ghum-e-Hussain a.s main rona!
Kitab-Ahl-e-Sunnat Ghniyat-ul-Talibeen p-537
hazrat Shaikh Abdul Qadir Jilani ra (badshah peer)
Tarjuma-Molana Muhammad siddiq hazarvi wwww.maktabha.org.
sham-e-karbala p-294 Muhammad shafi okarrvi.
Mesam e tammar aur Muala Ali a.s?
Meesam (r.a) ko Muala Ali a.s se wohi nisbat hasil hai jo Salman e farsi ra ko hasil hai,
meesam e tamaar ra ko shaheed hi Ishq-e-Haider a.s main kiya gaya,
Muala Ali a.s ka yahi mamool tha ke masjid say nikal kar seedhay Mesam e tamaar ki dukan par jatay aur mesam e tamaar ke sath mail kar khjoren bechty,
yahan tak ke mesam e tamaar muala ali a.s ko dukan par bitha kar khud dosary kaamo ko nikal jatay aur muala a.s akely mesam e tamaar ki khajooren becha kartay thay.
Reference: Book Behar-ul-anwar,jild:5,page 573
Note Mominen! kiya azeem hasti hain mesam e tamaar ke jiss ki duty Muala a.s khud detay rahay,
yeh imam ki muhabbat ki intaha hai,
Muala ali a.s aksar mesaam ko lye kar sehroon main chaly jatay aur pur asraar haqiqaton se mutlah kartay, mesam e tamaar daien aur munajat seekhtay.
(Faqeer GQC)
Muhabat-e-Muala Ali a.s ke Jurum main Hazrat e Meesum-e-Tammar!
>Aaj 27 Muharam ko Shahdat Hazrat "Meesum-e-Tammar R.A hai..
Aap Muala Ali a.s ke Jaleel-ul-Qadar Sahabi ar Shagird thay.
aap ko 61 Hijri main ubedullah ibn Ziyad Malon nay Muhabat-e-Ali a.s ke Juram main Khurma ke darakhat se latkaya aur 3 three din baad aap daarul-baqa ki taraf kooch kar gain.
Tamam Momineen wo mominat ko aap ki shahadat par taziyat araz ha labak ya hussain a.s
Faqeer Ghulam Qadir channa
"9 Ghanty"
Jab Karbala ka luta huwa Qafla Wapis "Madina e pak" Punhcha to Imam Sajjad a.s se kisi ne pochha ke Maola Aap ne kahan pe khon Rona Shuro kiya?
Maola Sajjad a.s nay Farmaya...
Haiy Sham!
Haiy Sham!
Pochha ke aaqa kiyun?
Muala SAJJAD A.S ne farmaya Baba ka Sharbi Qaatil kharra tha jo nashy men mast tha aur nabi e pak saww ki beti sa darbar e yazeed main 9 ghanty kharri Raheen aur yeh kehti theen...
Sajjad a.s main thak gai hon
Mery laal main thak gai hon......
f g q c messages come soon.......