HUSSAINI SMS Headline Animator

HUSSAINI SMS

Sunday, November 20, 2011

Panjtan nahi to Koch nahi sms

Karo Panjtan se wafa or kuch nahi,
Gham ka ilaaj is ke siwa or kuch nahi.

Khaak-e-Shifa hay meri dawa or kuch nahi,
Ghurbat ki Taiz dhoop se bach nay ke waste.

Parhtay Raho Hadees-e-Kisa or kuch nahi,
Maal-e-Khadija s.a, Zarb-e-Ali a.s Sajda-e-Hussain a.s

Islam men bas is ke siwa or kuch nahi.
Gar Chahte ho ke "Huzoor ki Shifa'at Mil jae tujhay!
Karo un ki "All" se Wafa or kuch nahi.

U nay kaha ke deen ki tareekh puri likh do,
Men nay Faqat Hussain likha or kuch nahi

Saturday, November 19, 2011

Best of Faiz Ahmed Faiz ki Soch

Gulon Mein Rang Bharay Baaday Nou Bhar Chalay,
Chalay Bhi Aao kay Gulshan ka karobar Cahalay,

Qafas Uddas Hai Yaaro Saba Say kuch To kaho,
kahain To Baharay khuda Aaj zikkaray Yaar Chalay,

Jo Hum Pay Guzri So Guzri Magar Shabay Hijjran,
Humray Ashak Tumhari Aakbat Sanwar Chalay,

Hua Jo Teer-e-Nazar Neem kash To kaya Hasil,
Maza To Jab Hai kay Seenay kay Aar Par Chalay,

Makam Faiz koi Raah Mein jacha Hi Nahain,
kui Yaar Say Niklay To Sui Yaar Chalay..

Friday, November 18, 2011

Maula imam Hassan Askari a.s Roman urdu SMS

Hazrat imam Hassan Askari a.s ek Tawil Rawayat jis men ek misaaq ka zikkar farmatay hain jo khuda e pak nay apnay bandon se liya tha kay Zaman men farmatay hain. A-Adam agar aik kafir ya tamam kufaar Paeghamber kay Ahelay Bait mein ya us kay Ashab mein say kisi aik ko Dost Rakhtay hon gay To khuda unhain un kay amal ki jaza Dega aur Akhir Qar unhain Toubah karnay aur Eiman lanay ki to toufeeq us'say inayat farmaega phir unhain appni jannat mein dakhil farmaega khuda-o-Aalay Muhammad saww aur Aan'Hazrat saww kay Ashab kay Doston mein say har aik par itni Rahmat Nazil Farmaiga kay agar awal Ta Akhir khuda ki Tamam Mukhlooq ki Tadad ko jama kya jay aur woh sabhi kafir hon to sub kay li'ay kafi hogi aur Akhir kar woh Eiman ki Taraf lout Aaega Ta'kay us kay sabab jannat mein Dakhil Ho sakay.

Agar koi shakhs Muhammad-o-Aalay Muhammad saww aur un kay Naik Ashab Ya Un Mein Say Kisi Aik Kay Sath Dushmani Rakhay'ga To khuda Us ko Aesa Azab De'ga kay Agar Woh Azab Tamam Mukhlooq Par Taqseem kya Jay To Sub Halak ho'jain Gay.

Qayamat kay Din Char Tarah kay Aadmiyon ki Shifat karonga Agarchay woh tamam Ahelay Zameen kay Gunhaon ka Wazan Appnay Sir lay kar Meray Pas Aain' woh Log jo Meray Ahelay Bait ki Madad kartay Hon' woh Log jo Meray Ahelay Bait as ki Zaroriyat ko Pura kartay Rahay woh Log jo Un ko Dil Aur Zuban Say Dost Rakhtay Hon Aur woh Log jo Meray Ahelay Bait as ki Hamayat karnay kay Sath Un ka Diffa kartay Rahay Hon"

Aalay Muhammad as kay Sath Aik Din ki Muhabbat Aik Sal ki Ibadat Say Afzal Hai' Jo koi Bhi Aalay Muhammad as ki Muhabbat kay Sath is Doniya Say Rukhsat Howa To woh Jannat Mein Dakhil Hoga.

Meray Nazdeek Tum Mein woh Behatar hai jo Meray Ahelay Bait as kay Li'ay Behtar Ho.

Pull Sarat par Tum Mein Say Sub Say Zayada Sabit Qadam woh Hoga jis ki Meray Ahelay Bait as Aur Ashab kay Sath Muhabbat Zayada Hogi.

Meri Aur Meray Ahelay as ki Muhabbat Sat Maqamat par Faida De'gi Aesay Sat Maqamat kay Jin Mein khouf-o-weshat Zayada Hai Moat kay waqat Qabar Mein' Qabar Say Uthanay kay waqat' Jab Namay Amal Milay'ga' Hisab-o-kitab kay waqat' jab Meezan lagay'ga Aur Pull Sarat Say Guzrnay kay waqat"..

Sheikh Sadoq r.a sms

Sheikh Sadoq r.a kitab Amali main Imam Baqir as say aur Aap appnay walid Muhtaram say aur who appnay walid Buzaragwar say aur woh Rasool akram saww say Naqal kartay hain kay aap nay farmaya:

Jo koi chahta hai kay mera Taqrab Hasil karay aur mujah par Aesa Haq Rakhta ho jo Qayamat kay din us'say faida pouhanchay to us'say chahi'aye Meray Ahelay Bait as kay sath Ahsan karay aur un ko khush karnay kay asbab farham karay.

Humaray Mutaliq Giloo Karnay se Bachtay Rehana sms

Humaray Mutaliq Giloo karnay say Bachtay Rehana' kion kay Hum khuda kay parwish ki'ay hoi Banday hain us waqat humari Fazilat mein jo kehna chahao tum kaho,

Imam Hassan Askari ki tafseer mian Aan Hazrat say Naqal huwa hai,

Humain Maqam Abubiyat say Buland Na jano,
Us kay baad jo chahao kahao tum humari Haqeeqat ki Azmat tak Nahain punhanch saktay. Nasara ki Tarah Humaray Baray main Gillo na karna kion kay mein Gali logon say Be'zar hon.

Imam Hassan Askari a.s

Imarat ko us ki Taqat say Zayada Buland na karo' Warna woh Gir jaegi Humain khuda ki Makhlooq Qarar Denay kay baad Humaray Mutaliq jo Fazilat Bhi Bayan karna chahao Bayan karo.
Lekin humari Azmat ko Nahain pa saktay
(Kitab Manaqib Ahelay Bait a.s)